tere ishq ney mera yeh haal kiya
mujhe apna tak na hosh raha
dekh k meri halat ab k
mujhe jo miley ab yeh kahey
tum pagal ho tum pagal ho

yeh duniya teri kaisi hai
sab log yahan niraley hain
merey tarapney pe yeh hanstey hain
or hans k mujhse kehtey hain
tujhey kis ki yaaad rulati hai
tum ku younhi taraptey ho
mai insey jab yeh kehta houn
koi or nahin yeh dil hai apna
jo mujhko you satata hai
mere tann mann mei aag lagata hai
de k mujhko ishq ki masti
pir din raat nachata hai
yeh sun k log pir hanstey hain
or hans k mujhko kehtey hain
tum pagal ho tum pagal ho

hur roz k apney milney pe
ik dost ney mujhsey yeh kaha
siyaney log yeh kehtey hain
qadar kho deta hai yeh roz ka ana jana
jab maine us sey yeh kaha
k mera taaluq to kuch aisa hai us se
jo namazi ka hai masjid sey
jo poojari ka hai mandir sey
jo bachey ka hai maktab sey
yeh sun ker usney bat meri
merey kandhey pe youn hath rakha
or thapki de k yeh kaha
tum pagal ho tum pagal ho

aj bethey bethey bato mei
jab tumney mujhse yeh kaha
farz karo aisi koi hawa chaley
farz karo mai tumko na pehchaan saku
farz karo tum duniya mei ab tanha ho
farz karo mai apna tujhey na maan saku
pir mujhko janey kya huwa
jab paimana zabt ka chhalak gaya
ankhein meri baras perhi.n
sans yeh mera ruk gaya
sar bhi mera jhuk gaya
dekh k mujhko saktey mei
tum zor sey jab pir hansey they
maine utha k sarr jab dekha tumko
teri ankho mei shararat thi
dekh k meri pur nam ankhein
aor ankho ko ishara kar key
tumney hanstey hanstey youn kaha
tum pagal ho tum pagal ho

suna k nazm jab dekha
hur suu mehfil mei sargoshi thi
maine uth k jab poocha sab sey
mer sunney walo yeh batao
merey jazbaat ko tumney kaisa paya
yeh sun k sab kharey hue
or moun morr k mujhsey chal diye
bass jatey jatey yeh kaha
tum pagal ho tum pagal ho