Aaj Main Jo Baat Aap Logo'n se kehney ja raha hon us k ley dil b nahi manta lekin es waqt haalat ajeeb si ho rahi hai aur kisi k sath dil ki baras nikalany ko dil kar raha hai.
Aik shaks jo aap k ley sab kuch ho. Aap k uthna bethna kahan pena matlb aap har waqt usey dehan mein rakhen. aur kabhi us se kisi baat pe naraz ho jain to app naraz kion hoey?
Es ley k wo aap ka apna hai........
Wo aap ko mana ley ga.............
Us ka aap k begair guzara nahi ho ga.......
aur zahar aap ka b nahi ho ga.................
Shaid k app ko us par man hai...........
Zahar hai naraz b wahein hoya jata hai jahan koi manany wala hota hai.
Yahan aap ko manay wala b hai Lekin...........

Nahi manata.....???????

Wo apni Ana Ko Muhabat Par tarjeeh deta hai. Wohi Ana jo us k ley Aap kai baar kai jagha bhoola kar usey ehmeeyat di hai..
Lekin ajj agar wo apni Ana ko app se balatar samjhe to???????
aap ne ye nahi btana k ya acha nahi hoa ye mujhe b pata hai k ye acha nahi hoa.
Sawal ye hai k Aisa kion Hota hai?

Agar apko meri ye tehreer buri lagi to i am sorry. Bus jo dil mein aya Lekh dia. Main koi adeeb nahi hon aur nahi ban'na chahte hon. Bus dil ki kuch batein hoti hain jo kabhi kisi ko bata kar chain milta hai to kabhi kahein lekh kar...

Ahsan


Main ApneY Khoon Se Lekhta Hon
Tum Gawahi Doo........................