Wafaa ke bhes mein koi raqeeb-e-shahir bhi hai
Hazar! ke shahir ke qaatil tabeeb-e-shahir bhi hai

Wahi sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaarou'n taraf
Jo merey baKh't mein thaa ab naseeb-e-shahir bhi hai

Udhar ki aag idhar bhi pahu'nch na jaaye kahin
Hawaa bhi tez hai jangal qareeb-e-shahir bhi hai

Ab us ke hij'r mein rotey hain us ke ghaayal bhi
Khabar na thi ke wo zaalim habeeb-e-shahir bhi hai

Ye raaz naaraa-e-mansoor hi se hum pe Khulaa
Ke choob-e-mimbar-e-masjid saleeb-e-shahir bhi hai

Kharee hai jang ke ab ke muqaabiley pe "Faraz"
Ameer-e-shahir bhi hai aur khateeb-e-shahir bhi hai....**

*~*~*~*~*~<<<<<>>>>>~*~*~*~*~*