MUJHE MALOOM NAHI HUSN KI TAAREEF FARAZ

MERE NAZDEEK TO HASEEN WO HAI JO TUM JAISA HA
----------
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
----------
ab andhery main kia kr rahy ho fraaz,

gham to roshni main bhi kam nahi hoty.
----------
Dard Hota Nahin Duniya Ko Dikhane K Liye
Har Koi Rota Nahin Ansu Bahane Kliye
Rutne Ka Maza To Tab Aata Hai
Jab Koi Apna Ho Manane K Liye
----------
MAT POOCH MERE SABAR KI WASAHAT KAHAN TAK HAY

SATA KAR DEKH AEY ZALIM TERI TAQAT JAHAN TAK HAY
----------
Muje sulane ki khatir jab rat ati hai.
Main so nhi pata raat khud so jati hai.
Puchne per dil se awaz ati hai.
Aaj doston ko yaad kar lo raat to roz ati hai
----------
Ae Dost kabi na bhool sakee mein mela teri basti ka
mein tujh se kesay door rahoon tu hisa meri hasti ka
ae logo na israr karo wo mujh se mil na paye ga
wo chand zameen pe utray kion wo aadi hai kab pasti ka
----------
chaye hue thy badal laikin barsy nahi
dard boht tha dil main par hum roye nahi
koi nahi hmara jo humsy poochy k
jaag rahy ho kissi k liay ya kissi k liay soye nahi
----------
kia khabar ti k wo achanak hi juda ho jaye ga
kabhi jo muj par marta tha kisi aur par fida ho jye ge
Aik ussay hi chaha tha meine apni zaat se b zeyada
aur yhe soucha bhi na tha k wo hi mere lye saza ho jye ga
----------
mana k tery deed k kabil nahi hoon ma
pr zara mera shauk daikh mera intizar daikh
----------
WAISE TU THEEK HOON UN SE BICHAR KE FARAZ.
BAS DIL HI KI SOCHTA HOON KAHIN DHARKNA NA BHOOL JAYE
----------
Tere aane ki ass pr Zinda hon ab tak
Ab tujhe dekhne ki hasrat k siva kuch nhi
Tasvir teri ankho me utr gai is trah
Nazar kahi b jaye teri surat k siva kuch nhi
Subah se sham tk teri Rah takta hon
Ab mere pas teri yaad k siva kuch nhi
----------
WAQT AISI RAWANI MAIN DHALTA RAHA
MAIN BEKHABAR AISAY HI CHALTA RAHA
KABHI HANSTA THA APNY NASSEEBOO PY MAIN
KABHI ANDAR HI ANDAR MAIN JALTA RAHA
KAHEEN SHIKWAY MILAY KAHEEN THOKRAIN MILEEN
CHOTEIN AISI LAGIEN K SAMBHALTA RAHA
USKO PANY KI KHATIR TO SAB KUCH KIA
WOHI SUNG DIL THA RASTA BADALTA RAHA
----------
gul ki aarzoo aarzoo ki tamanna tamannao mai mehek hai gul ki
baghe chaman mai janha se guzre the aap aapke didar ki tamanna hai gul ki
----------
aansoo na hote to aankhe itni khubsurat na hoti
dard na hota to khushi itni besh kimti na hoti
puri hoti maangne se her dua
to ibaadat ki kisi ko zarurat na hoti
----------
udaasiyun say wabasta ha ye zindgi meri`FARAZ`
khuda gawah ha k phir bhi tujhe hum yaad karte hen
----------
they khak e raha bhi ham laug qehr e toofan bhi
saha tau kia na saha kiya tau kia na kiya
heela woh kar jo wafa khu bhi ho jafa ju bhi
kia bhi tau Faiz kis bott sey daustana kia
----------
Suna hai mere baad ab wo Hansta b nahi hai
Badal geya hai ab wo Pehle jaisa Bhi nahi hai
Sab keh rahe hain Mujh se lout aao or usay sambhalo
K tere baad wo kisi ki Sunta bhi nahi hai
----------
Alfaaz k jhoote rangon mein
aghraaz k gehre pardon mein
Har shakhs mohabbat karta hai
halanke mohabbat kuch bhi nahi
----------
AIk UMER LEKHTY RAHY PHR B WARQ SAADA RAHA FARAZ
NA JANY KIA LAFZ THY JO HUM SA TEHREER NA HUWY
----------
T'alluq rog ho ja'ay, ussko chorna behtar
T'arruf bojh ban ja'ay, to usska torna acha
Jiss afsaanay ko takmeel tak lana ho na-mumkin
Ussay aik khoobsoorat mor day kar chorna acha
----------
Bhot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad
Wo samandar ki leherey
Wo rait ke mehal
Bhot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad
----------
Kabhi khamosh betho gay
Kabhi kuch gungunao gay
Main itna yaad aaon ga
Mujhey jitna bhulao gay
Koi jab pooch bethay ga
Khamoshi ka sabab tum say
Bohat samjhana chaho gay
Magar samjha na pao gay
----------
Teri yaad bhi kamal krti hai
Kese kese humse sawal krti hai
Ik pal ko tanha nahi krti mujhy
Teri yaad bhi mera kitna khiyal rakhti hai
----------
Is be naam se rishtey ko nibha jaao kisi din
Jo mil jae kabhi fursat tou paass aajo kisi din
----------
Milta hai sabhe kuch sab he ko ye suna hai
Mujh ko tou faqat tum he mil jaao kisi din
----------
Barsoon ki muhabbat ko kis tarah bhuladete hain
Mujh ko bhi aisa hunar sikha jao kisi din
----------
Muqaddar me jo likha hai wo kabhi na mitte ga kanwal
Fursat milay tou dil ko ye baat samjha jao kisi din
----------
Bana ker Faqeeron ka hum bhais Ghalib
Tamasha-e Ahl-e-Karam Dekhtay Hain
----------
Zamaney bhar ne y loota hai faraib-e-dosti day kar "Faraz".
Agar tum sath do to sab say dushmani kar loon
----------
peenay dey saqi abi raat baqi hai
mere hissay ki abi sharab baqi hai
jana ha sub kuch bula k muje maikhaney se
peenay de abi Dil ma kisi ki yaad baqi hai
----------
Kabhi Abaad karta tha kabhi Barbaad karta tha
sitam har roz wo eik neya Eijaad karta tha
zamana ho gya lekin Khabar leny nai aya
Jo punchi roz mery name par azad karta tha
----------
AB TAK WOH ZAKHAM PURAANEY
BHARE NAHI IS DIL KE
MERI HATELI KI REKHAON MEIN
AB KOI NAYA VAADA NA LIKHO
----------
DIL KEHTA HAI EK BAAR UNSEY
INKAAR KAR KE TO DEKHO
KISMAT KEHTI HAI
KHUD ZINDGI MEIN APNI KOI HAADSA NA LIKHO
----------
WOH APNEY GHUM MEIN DOOBEY
HUM UN KE GHUM MEIN DOOBEY
AEY KHUDA PHIR MILA DE UNSE
KISMAT KO MERI PHIR TANHA NAA LIKHO
----------
Ho Koi Naam Aisa To Jo Mujassma Husn-e-Fitrat Ho
Bohat Hi Khubsurat Ho Kisi Nazuk Pari Jaisa
----------
Tumhari Shairii Sari Meri Tareef Thehrii Hay
Jisay Sun Kar Main Khuwabon Ki Si Kaifiyat Mein Kho Jaon
----------
Vo jo likhta phirta hai dar o deevar pe naam mera
Kahin bikher na de mujhe harf harf kar ke
----------
Sabab judai ka kuch to batao mujhe
Phir chahe dil o jaan se satao mujhe
Chalo ye mana tumhe fursat hi nahi
Magar! ye lazim to nahi bhool jao mujhe
----------
Tujhse bichar k apni kahani badal gai
Darya e zindigi ki ravani badal gai
Logon k is hujoom mein dhoonden tujhe kahan
Is sheher ki yo sari nishani badal gai
----------
Tujhe pyaar mera Sataye ga aksar
yadoon k tufaan uthaye ga aksar
Zikar mera krne se pehle
tu kuch soch k muskuraye ga aksar
Mera naam likh kr kitaboon ma apni
Tu logoon k k darr se mitayega aksar
----------
hum tou dushman ko bhi pakiza saza detay hain
hath uthatay nhi bus nazron se gira daitay hain
----------
yeh keh kar sanperon ne band kar diya sanpon ko pitaron main
k dasnay k liye insano ko insan hi kaafi hain
----------
Tamana koi bi mere dil ki poori Na hui
Chahat ka koi afsana Na bana
Aaj phir chali gai zindgi nazron Ke samne se
Or us se baat karne ka koi bahana Na bana
----------
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai
Zindagi Maut Ke Pahluo Me So Rahi Hai
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah
Wo To Bus Zamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai
----------
Jab koi din mai sham kare
Ya lab ki hansi badnam kare
Jab wahshat dil ka nam kare
Ya ankh mai neend haram kare
Mat tanha tanha ghabrana
Tum pas hamare a jana
----------
Jab panchi sarey urh jain
Her simt andhera cha jaiye
Jab guzri batain yad aein
Aur beetey lamhe tarpaein
Mat tanha tanha ghabrana
Tum pas hamare aajana
----------
HAR KOI HAR KISI KO HAR PAL NAHI MILTA
IS BAAT SE ROOTH KAR KOI DIL NAHI JALATA
APANI TO ADAT HAI SABA SE HANS K MILNE KI
CHAHE KISI SE DIL MILTA HO YA KISI SE NAHI MILTA
----------
yeh teri talkhnawayian koi seh kar to dikha day
yeh jo ham main tum main nibha hai yeh maire hosle ka kamal hai
----------
koi lakh pare pyaar k mantar
jinki fitrat main hon dasna woh dasa krte hain
----------
usay khana k hum khoosh hain
Bas unki yaadey satatey hain
un ki doori ka gham nahi mujhe
Bas zara palkey bhege jatey hain
----------
kitna hy badnaseeb zafar dafan k liye
do guz zameen b na mili koye yar main
----------
kirdar ki azmat ko ruswa na kya ham ne
dhoke to boht khae pr dhoka na diya hamne
chal chal k thak k pocha paoon k chalon ne
boht door dunya basai ha dil me basne walon ne
----------
ya ashko ki lari tham jai tu jana
barsat mai aksar safer acha nahi hota
----------
Wo bichra tha jo hum se urooj-e-bahar main
is humsafer ka hamey koi pata dey
mere tamam rat jagon kahasel tha wo shakas
is wada shanas ko ja kar koi bata dey
----------
Mom ki tarah pighalty huey daikha usko,
Rut jo badli badalty huey daikha usko,
Wo jo kanton ko narmi sy chuwa krta tha,
Hum ny phoolon ko masalty huey daikha usko.
----------
jany us shakhs ko kaisa yeh hunr ata hai,
Raat hoti hai to ankhoo main utar ata hai,
main us k khyaal sy niklu to kahan jaon,
wo meri soch k har rasty py nazar ata hai.
----------
Is dil-e-hasti ko us sy pyaar hai buht,
magr wo shakhs bhi fankar hai buht,
na mila tu milny ki justaju b nahi krta,
aur milta yu hai jaisy hmara talabgaar buhat hai.
----------
Wo kar rahy thy apni wafaon ka tazkra "FRAAZ"

Hum par nighah pari to khamosh ho gaye.
----------
wo jo kahty tha k tu na mla tu mer jan ga
wo aj b zinda ha ya bat kisi ur sa kahny k lya
----------

----------
----------
----------