Dhoop ke saath gayaa saath nibhaaney waalaa
Ab kahaa'n aaegaa wo laut ke aaney waalaa

Ret par chhor gayaa naqsh hazaaro'n apaney
Kisi paagal ki tarah naqsh mitaaney waalaa

Sab'z shaaKhein kabhi aise to nahin cheeKhiti hain
Kaun aayaa hai parindoun ko daraaney waalaa

Aariz-e-shaam ki surKhi ne kiyaa faash usey
Pardaa-e-ab'r mein thaa aag lagaaney waalaa

Safar-e-shab kaa taqaazaa hai merey saath raho
Dasht pur_haul hai toofaan hai aaney waalaa

Mujh ko dar_pardaa sunaataa rahaa qissaa apna
Agaley waqtoun ki hikaayaat sunaaney waalaa

Shabanami ghaas ghaney phool larazati kiranein
Kaun aayaa hai Khazaanou'n ko lutaaney waalaa

Ab to aaraam karein sochiti aa'nkhen meri
Raat kaa aaKhiri taaraa bhi hai jaaney waalaa...**

*~*~*~*~*~<<<<<>>>>>~*~*~*~*~*