ASSALAM-O-ALAIKUM :
UMEED HAY URDU STAR K TAMAM DOST KHAIRYAT SAY HON GAY.

AJ main jo tip ap logo ko batanay laga hon computer rakhnay walay har fard k lye nihayat aham hay.aksar aesa hota hay k jab hum apnay computer ki hard disk ko utar kar kisi dosray computer k sath lagatay hain tu wo conflict karti hay aur baaz dafa aesa bhi hota hay k os par mojood operating system new computer par load nah hota.aesa aksar is waja say hota hay k ap ki setting device manager main pahlay say hi set hoti hay aur agar ap is setting ko khatam kardien tu hard disk kisi bhi computer k sath ba-asani kam karna shoro karde gi.aur ab agar ap chahtay hain k apni hard disk kisi dosray computer k sath lagaen aur os setting ko khatam kardien tu is tareekay par amal karien.
*sab say pahlay 'run' main jien aur regedit likh kar open karien.
*ab ap 'HKEY_LOCAL_MACHINE' PAR JIEN AUR WAHAN SAY 'ENUM' KO KHATAM KARDIEN.
*AGAR AP KO 'ENUM' KA OPTION NA MILAY TU PARESHAN HONAY KI ZARORAT NAH HAY IS KA MATLAB YAH HAY K AP KI HARD DISK KI SETTING STORE NAH HOE AUR WO KISI BHI SYSTEM K SATH BA-ASANI KAM KAR SAKTI HAY.
MUJHAY UMEED HAY YAH TIP AP KO ZAROR PASAND AE GI AUR KAM BHI AE GI.AP SAB K RESPONSE KA INTEZAR RAHAY GA......ALLAH HAFIZ.