************************************************** *******
mere jaane ke baad


nazuk thay halat waqt bhi peeche chor chala thaa
mein andhere raaston pe chal raha hon be khabar

sab jaan ke anjaan banay bethay hain goshay mein
phirte rahay zindagi ki talash mein be sabar

woh jo milli anjaan banke hum ajnabi lage uss ko
apne shahar mein bhi mohabbat nahi mili pathur hain sab

gham ki khamoshi chayee thi mehak thi aankhon mein ansoun ki
uss ki yaad thi saath bhula na sakay uss ko jisne bhula diya mujhe

aye mere dost jeene ka shauk nahi raha bichar jaane ke baad
to kahan bhi rehlay tujhe mein yaad aaonga mere jaane ke baad
************************************************** *******