Meri taraf say tamam bahio ko salam

main ITD main aik naya thread open ker raha hoon
basically main aik mobile phone engineer hoon oor iss field main 3year sai kamm ker raha hoon agar app kay mobile main koi b kissi kisam ka masla hai to aap yahan post karain main aap ko iss ka hla bata doon ga


lakin meri aap sab sai aik guzarish hai k agar aap mobile repairing kay baray main nahi janta to aap barai meharbani mobile ko ghar per theek na karin

iss thread ka mainly maqsad yeh hai kai app logon ko apnay mobile k fault main pata chal sakay oor app us fault ki hi price do na kay zaida do

kyoun kafi dafa kuch mobile walay chotay sai maslay ko bara ker zaida paisay wassol kerta hain


main aik baar phir kahoon ga
"K jis ka kaam usi ko saajay"