786
Assalam-U-Alaikum

Umeed hay aap sub theek honge-

G to Rauf shah pher hazir hay ak zabardast thread k sath-

Networking k mojood computers se chat karna bht aasan hay-

Jo k Xp window kaa tool sar anjaam deta hay-

Jo k windows chat k naam se jana jata hay-

Ye doosrey massengers se sub se zyada safe massenger hay-

Aur us ki ak aham baat ye he k us k zariie chat aap bagair internet kar sakte hain-

To g is kaa silsila kuch yon hay-

Sub se pehle Taskbaar men mojood Start Menu per click karne k baad Run pe click karen-Aur yahan Winchat likh kar OK kar den-

Aap k saamne ak chota saa messnger khul jaiega-

Us men menubaar men mojood Conversation per click karne k baad Dial per click karn-

Dial per click karne k baad aap k samne window khul jaiegi

Jis men un tamam computers k naam bhonge-

Jo k aap k networks men mojood hay-

Jin ko aap ne networking k zariie milaya huwa hay-

Wahan se kisi bhi shaks k computer ko select karen-

Aur Chat start karden-

Agar kisi shaks k baad windows chat nhn chalraha per pher bhi aap ko us kaa msg milega-

Ye alag baat he k woh aap k sath baat karna REJECT karde-

Jab msg aap bhejte hain to dono tarf bell ki awaz aati hay-

To friend duiaioon men yaad rakhiyega-
Allah Hafiz