khoshi kise khte hai nahi maloom
ghamo se dosti hai hamari
kabhi dar pe mere dastakh deti nahi jo
badi bewafa hai ye khoshi hamari
darte hi rah gai muskorane ke liye ham
rona ab ban gaya hai bebasi hamari
kaha ham dhonde bhla ab khoshi ko
khoshi se nahi milti kabhi ye zindagi hamari
jitne aanso hai sab hamare dost hai ye
aankho main gher banati hai unka her nami hamari
koi pata na mila hame kabhi khoshi ka
roti hi rah gayi her kami ye hamari
ham ne kanwal ab chord di khoshi ki umeed
khoshi se hogayi hai ab dushmani hamari
By aslam,taj_