ASSALAM O ALAIKUM
mene ITDUNYA mein bohat saare thread dekhe USB ko bootable banaane ke lye.. mein ne instructions ko follow kerte hue USB to bootable bna li he.
but mujhe us ko boot krwane mein problem feel ho rahi he...
bcz... mere PC ke boot order mein sirf 3 options hain...
  • internal HDD
  • CD/DVD
  • cardbus NIC


USB ke liye kis option ko first pe laaun???
plz mujhe guide ker dein ke boot order mein kis naam se usb ki option hoti he... jis ko first pe laane se usb se computer boot hoga......
mere paas DELL (latitude) C600 laptop he
thanks