Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pihle
Udasi Thehir Jati Hai Tumhare Naam Se Pihle

Kahan Bichra Huwa koi Safar Ke Baad Milta Hai
Hame Mil Kar Hi Jana Tum Safar Ki Shaam Se Pihle

Meri Aankhon Ko Teri Ungliyon Ki Araam Aadat Hai
Ye Aankhen So Hi Jati Thin Barey Aaram Se Pihle

Teri Aankhon Ko Dekha To Faqt itna Khayal Aaya
Guzara Kis Tarah Jeewan Salone Jaam Se Pihle

Dilon Mein Phool Khilte Hein Tumhare Naam Se Pihle
Lahoo Mein Deep Jaltey Hein Tumharey Naam Se Pihle

Dilon Ki Jagmagati Bastiyan Aitraz karti Hein
Wuhi Jo Log Lagte Hein Nihayat Aam Se Pihle

Huwa Hai Wo Agar Munsif, To " Amjad " ehtiyatan Hum
Saza Tajweez Kartey Hein Kisi Anjam Se Pihle

Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pihle
Udasi Thehir Jati Hai Tumhare Naam Se Pihle