Meray college mein ziada tar websites block hein hata k agar studies k liay bhi google pe search krein aur kisi search result pe click krein to wo bhi open nhn hota
aur mein nein hazaron proxy sites test ki hein koi proxy site open nhn hoti

is k ilawa dosri baat ye k pehle aisa masla nhn tha haan kuch websites block ki gai thi magar ub to koi site bhi nhn open hoti
yahoo gmail aur google k ilawa
lekin hamaray college mein ip fixed hai aur network pe two ip work krtay thay un mein say eik pe koi restriction nhn thi jub k dosri pe kuch restrictions thi magar ub wo ip jo har website open kr leta tha wo change kr dia gia hai

To experts ap please btaen k mein dosra ip jis pe koi restriction nhn hai wo kesay maloom krun?

Dosra restrictions kesay khatam krun?