Salam to All,

Mera computer BIOS mein akar ruk jata hai and Yeh msg show karta hai ke DETECTING IDE DRIVES.....

Mere pass Ek hardisk and Ek DVD ROm laga hua hai..DVD ROm SATA hai and Harddisk IDE hai.....Ab kahin yeh to nahin hua ke Harddisk urh gayi ho..

Kese pata karooon???

Pahle to BIOS Settings mein bhi nahin janay de raha tha..ruk jata tha..lekin ek dafa janay diya to wahan jakar dekha mein ne ke HDD detect nahin kar raha...and wahan Slave and Master dono mein NONE likha hua hai..jaise ke HDD hai hi nahin..

Please batayen ke kya karoon..and yeh bhi batayen..ke Power laga kar HDD ko hath mei pakar kar check karooon???Run ho rahi hogi to vibrate karay gi rite???lekin is it dangerous???

Thanks