bahut say dost chahtay hain keh woh multi yahoo istemal karain jiss k liye unhain multi yahoo download karna hota hai laikin yahoo ko ap khud bhi multi bana saktay hain tareeqa nihayet asan hai.


agar ap ka messenger chal raha hai tho sab sey pehla apna messenger close kar dain
first step: pehlay step mein apnay computer k start menu mein Run click kar k Regedit Type karain ab ap dekhengay k ap k samnay system registry ki aik window aa jaegi
2nd Step: Doosra kaam ap nay yeh karna hai keh * HKEY_CURRENT_USER \ SOFTWARE \ YAHOO \ PAGER \ TEST par jana hai yani HKEY_currern_user ko click karain aur phir yahoo folder phir pager aur phir test ko ab ap ko Right side par pane dikhayi daiga yahan ap kisi bhi jagah par right click karain aur New > DWORD Value select karain is entry ko Plural name dai dain ab plural ko double click karain aur aur iss ki Value 1 kar dain..
Lijiye ap ka multi yahoo tayar..............