Salaam,

Friends recently main UAE say Pak aya hoon, UAE main main Blackberry Bold 9700 BIS k sath use kar raha tha. Yahan Pak main main nay sim change kar k Ufone ki sim dali hai lakin pata nai kia problem hai cell bar bar on/off ho raha hai kai dafa try kia hai sim nikal k lakin same problem hai. Halan k mobile b factory unlocked hai. UAE main aik dafa aisi problem hui thi lakin Etisalat say contact kia tu uno nay network setting ko change karnay ka mashwara dia. change karnay k baad cell bilkul theek kaam karnay laga, but Pak main pata nai kia problem hui hai!!!!

kia koi dost bata sakta hai k kaisay fix kar sakta hoon main???