Assalam-o-Alaikum,

Umeed hai Kay Sab Khairiyat say Hongay Aur khuda Sub Ko Sahi Salamat Rakhay Ameen...

mujay Bohot Jaldi Aik help Chaye Hai Please Ager Koi Bhai Meri Help Kar Saktay hain To Jaldi Kar Dain Apki Bohot Meherbani Hogi....

Mujay Aik Web Form Bnana Hai Jis Main Ma Ye 3 input Feilds Dena chata hoon

Employee Number

Employee Name

Manager Name

aur iske Sath isi terhan 3 Button bhi Bnana Chahta hoon Jo Ye Hoon hain

3 buttons

1 – Insert

2 – Update

3 – Delete

Ab Mujay Masla Yehi Hai Kay Mujay Form Bhi Bnanay Ata hai Aur Database bhi Create Karna Ati hai But Mujay ye Nhi Pata Kay Kaisay Main Apnay Is Form Ko Database say Connect Kar Kay Data Ko Save,update Ya Delete Karonga Please Sirf Mujay ye samta Dain Aur Ager Koe iske Liye coding use Hogi To Wo bhi Bta Dain Apki BOhot Bohot Meherbani Hogi....Shukria...