Asalam-0-Alakum Experts!

Dosto Meray pass dell company k 3 modal system hain.

1:- Dell 260 ( board 845, ram 256MB, processer 2.0 ) Desktop.
2:- Dell 270 ( board 865, ram 512Mb, Processer 2.4 ) tower.
3:- Dell 280 ( board 915, ram 1GB (512 two), processer 3.2 ) Desktop.

Dosto in 3no system main ik hi problem hy. Wo ye problem hy system main light to a jati hy mager us per jo board per light lagi howei hy us ka color orange hy.
ab main jasy hi on ka botton press karta hun to system ni chalta, na hi power suply our na hi processer per majood heate sink ka fan ye dono ni chalty.
maza ki bat ye hy k jb main 4pin connector ko utar lata hun to system khud ba khud on ho jata hy mager display phir bi ni ata.
jb main us 4pin connector ko dobara lagata hun wo phir se band ho jata hy.
es k hal k liye jo main ne qadam uthey hain wo ik nazer main.

sub se phly main ne powersuply ko cange kar k dakha. us k bad bad qadam...!

1:- dosry theak dell ik hi modal k system ka processer change kar k dakha.
2:- ram ko change kar k dakha.
3:- apni tasali k liye vga card bi laga k dakha.
4:- ram our processer k slot's our soket ko thinner se wash kar k dakha.
5:- poray board ko thinner se wash kar k dakha.
6:- poray baord ko water with the help of serf(poder) se wash kar k dakha.
7:- 4pin connector k area ko phir se achay se wash kar dakha.
8:- 4pin connector k area main majood fe t's our resister ko resold our continuty be check kar k dakha.
9:- kharab system k processer our ram kisi dosry system main check kiye to wo bilkul theak thy.

ye sary setup main ne her ik system k sath kar k dekhay

note : please ap ye na khy dena k board hi change kar lo. main esi ko theak karna chahta hun.
Thanks.