plz experts help me, me ek furm me IT Incharge job kar raha hoon. aur ye sab kuch mumkin hoa, It dunya parhne se, ab muje ek masla hy,

me ne 4 computer par networking ki hoi hy, aur unhain net use karna allowed nahi hy, me ne sab k system par Internet Locker lagaye hoe hain, but muje pata chala k administrator account bana kar us me ap kisi b software ya computer programs ko allowed aur not allowed kar sakte hain, ab me ne ek senior se rabta kya to unho ne kaha k ap my computer par right click karin manage me jain aur administrator password laga kar manage karain, is k ley muje tamam systems me new window nahi karna pare ge. plz muje sahi tareeq se samjha dain, k me kaise administrator password banaoo, aur net not allowed aur windows k other programs kaise not allowed kar sakta hoon. meaning me chahta hon k dosree computer par na to net chal saky aur na control pannel open ho, na usb attach ho sake, is tarah ki mukamil authorization kaise kar sakta hoon. plz plz plz jaldi bata dain, aur screen shots se samjha dain ge, to bohat bohat meharbani ho ge, Allah Ki Rehmat ho sab par