Mere Pass accounting ka aik software hay jo k VB6 may bana howa hay, aur us k back end pay SQL Server 2000 chal raha hai.
Mera yeah software hamaray office may tamam computers may install hay, aur main nay aik pc pay SQL server install kiya howa hai, jahan say tamam office kay log apnay computers say is software ko access kartay hain aur apna kaam kartay hain,
hamara aik office dosray city may hai, main is software ko "WAN" mtlub internet kay through kaisay chalon, ta k jis tarah mere office may tamam log "LAN" k through yeah software access kar laitay hain, isi tarah mere dosray city walay office kay log is ko access kar kay kaam kar sakien,
Note: Yeah web bases software nahi hai, mujhe sirf yeah jann'na hay kay is software ko mtlub apnay SQL Server 2000 walay pc ko kaisay Online server banao ta k dosray city walay b access kar sakien,
aur is kay liye mujhe kiya kuch required ho ga,
Please jis ko is baray may pta ho woh he jawab day. aur ager ap ka jawab VPN server ya Static ip ya port forwarding ka mashwara daita hai to is k baray may mazeed tafseel say btayiyee ga , qk mujhe is k baray may kuch nahi pta.