Asalaam ALiakum...

hamarey Gohar'e Nayab silsilay main aap mash'hoor o maroof adeeboon ke baray main parh sakainge... unki tehreeron se iqtebasaat.... kutub ke ilawa unki zaati zindagi....ehbaab ke tabsarey.... interviews ke tarashaay.... gharz jo bhi maloomat hoon ham aap se aur aap ham se bant'iye...

Khud bhi roshan hain zamana bhi hai roshan in se
koi dekhey to chiraaghoon ka feroozan honaa

Hamaaari is bar ki shakhsiyaat.......Ashfaq Ahmad / Talqeen Shah / Baba jee


Ashfaq Ahmad aik hama juhut shakhsiyat they… wo sirf aik novelist hi nahi…aik ustaad, falsafi, sofi, drama’nawwais aur bahtareen insaan bhi they… 1955 main apke pehle afsanay “Gadarriya” ke baad apko khasi shuhrat hasil hui.

apki tareekh’e paidaish 22 August 1925… gaoon “garh muksar” aur Ferozpur district, India hai….ebtedaii taleem apne district ke school se hi hasil ki … aur azaadi ke kuch arsa baad hi Pakistan hijrat kar gaey aur Lahore main aaN basay…. Gov College Lahore se Urdu Literature main Masters mukammil kiya …. waheen apki mulaqat Bano Qudsia se hui jo ke apki ham jamaat thein…aur baad main Zouja muhterma banein.

Partition ke baad jab aap lakhoon, karooroon muhajireen ke sath Walton refugee camp main they to wahan ap megaphone se announcements kiya karte they… baad main apko Azad Kashmir radio pe nokri mil gai, jo ke aik truck main banaya gaya tha aur gaa’hay ba gaa’hay Kashmir ke muzafaat main gasht karta rehta tha….kuch arsa baad ap Diyal Singh College Lecturer rahey…wahan se phir Rome gaey Radio Rome main Urdu ke newscaster ki haisiyat se khidmat sar’anjaam dete rahey…Rome University main Urdu ke professor bhi rhaey… Italian aur French zubanon main diploma hasil kiya.

Adabi safar:
apke adabi safar ka aghaaz to bachpan se hi ho gaya tha…apki who kahaniya Phool Magazine main shayaa huien…Europe se Pakistan wapsi pe aap ne apna risala nikala “Daastan’go” aur Radio Pakistan pe scriptwriter ki haisiyat se kaam ka aghaz kiya.. Sofi Ghulam Mustafa Tabassum ki jagaa Government ki janib se apko Urdu weekly Lail’o Nihar ka editor bana diya gaya.

1962 main apne apne mash’hoor radio show “Talqeen Shah” ka aghaz kiya ..jis ne rat’o rat shuhrat hasil ki…yeh aik haft rozah program tha..jo 3 dahaiyon tak apni maqboliyat ki bina pe jari raha … 1966 main Urdu Markazi Board ke director muntakhib huye, jo baad main Urdu Science Board ke naam se tabdeel ho gaya…

1960 ki dihaii main ap ne aik Film “dhoop aur saiye” banaii jo awam un’nas main khatir khawaa shuhrat na pa saki…

apke mashhoor asfanay’o kutub
Gaddariya…aik muhabbat so afsanay…band gali…gulldan… Uchhay Burj Lahore Dey… Tota Kahani….Lekin…hairat kadaah… mun’chalay ka soudaa…talism hosh afza… shahla kot…..safar’e mainaa….nangay paoon….mahneem saraey...safar dar safar… Zaaviya… Zaaviya 2…

apki adabi aur broadcasting ki khidmaat pe apko President’s Pride of Performance award aur Sitara’e Imtiaz se nawazaa gaya.

adabi dunya ka yeh roshan sitaraah cancer jaisey muzii merz se laraii larte larte 7th September 2004 ko, 79 saal ki umer main apne Khaliq’e Haqeeqi se ja milaa… Inna Lillahi Wa Inna Ilahi Rajiyoon