salam to all, ye question aap tamam experts se me pooch raha hun specially zair86 bhai. zair bhai me aap se ye malom karna chahraha tha ke aap ka jo masla tha dell gx260 audio driver ka jis me aap ke sound card install karne par pc hang hojata hai, phir aap ne thread ke end me solution b dia tha ke aap ne xp service pack2 ko service pack3 me upgrade kia aur phir sound card install kia then aap ka masla hal hogaya tha, to janab arz ye hai ke mera b same problem hai pc ka, aap muje zara tafseel se meri rahnumai farmayen kyun ke meri samaj me ye nahi araha ke aap ne kese upgrade kia hai xp sp2 ko xp sp3 me cd ki madad se? kyun ke mene kabhi cd ke zariye windows update nahi ki hai, albatta net ke through ye hosakta hai ke aap xp service pack2 ko windows update karen or microsoft ki website se aap xp sp3 me update download kar ke xp ko upgrade kar sakte hain, ab mera sawal ye hai aap ne kese cd ki madad se xp sp2 ko xp sp3 me upgrade kia hai? agar aap tafseel se muje samjaden to sir meri bohot badi problem solve hogi jis par me aap ka mashkoor honga. ap ke jawab ka besabri se intezar rahega.