Salam brothers how r u

I hope u will be fine

Sir main nay kuch din pehlay excel kay mutaliq 2 question kiye they un main say ek ka to answer theek hain , laykin doosray ka answer theek nahin hain jis main hum ko income per tax calculate karna tha. To main wo question doobara say revise kar raha hoon. Plz app ka uss ka answer zarror dena.

Q.) Question yeh tha kay hum kis tarah kisi bhi income per tax calculate karkay nikal saktay hain .yani hum income likhay or uss per tax khud hi nikal aye uss ki percentage % kay mutabiq. Main nay nichay tax formats diya hain uss complete formats ka mujhay formula chiye. One Lac Say Four Lac tak ki income ka. For Example One Lac (100000) income per koi tax nahin hain jabkay 100001 say laykar 150000 tak 7.5 tax deduct (katoti) hota hain. Ab main yeh chata hoon kay agar main Cell A1 main value 150000 likho to Cell B1 main iss income per khud tax nikal aye jo kay 3750 banta hain bcoz one lac per to tax maaf hain and uss kay baad 100001 say 150000 tak 7.5% hain iss waja say agar main 105000 likho to yeh 5000 ka 7.5% tax calculate karien bcoz 100000 tak koi tax nahin hain iss waja say .
Plz brothers app iss ka acha sa answer day day na . pehlay khud apply karna formula laga kar . kay theek hain ya nahin and apna email adres bhi post kardena.

Main appkay answer ka intizar karro ga /. Plz zarror answer dena
Tax formats main nichay day raha hoon.

Income TAX
100000 NIL
100001 say 150000 7.5%
150000 say 300000 12.5%
300000 say 400000 20%