Assalam o Alaykum....

Main apnay laptop mein windows 7 use ker raha hoon. C drive 30GB ke bani hue hai. 2 saal pehlay laptop khareeda tab say he same registered windows use ker raha hoon. Abi tak windows na to corrupt hue or na he koi problem diya. Windows updates on rakhi hue hain or saath he Microsoft security essential b use ker raha hoon.

Kuch arsay say C drive mein jaggah khattam ho rahi hai. mainay space mojood rakhnay k leay faaltu softwares uninstall ker deay. Phir Ccleaner b install kiya. Magar is waqt haalat yeh hai C drive mein ZERO space hai. or system baar baar hang ho jaata hai. koi aysa solution bataaAain k masla hall ho jaaA... Without windows refresh keay. Q k last solution to yahi hai k new windows install ker loon.

Sirf windows ka folder he 28GB ka hai. or total C drive 30GB ke hai. Is say andaaza laga lain.

Regards.....,


Xeeshan Malik