Friends!
Mujhey aik boht preshan kun erorr ne sta rakha hai.
Aur mujhey lagta hai ye ap sab ke liye b aik bohat bara challenge hai.
To dosto!
Mera masla ye hai ke
.
"jab main computer on karta hu to pata nai mere moniter ko kya ho jata hai.wo bar bar on n off hota rehta hai.
Baqi tamam cheezen on rehti hai.
I mean woofers,mouse aur key board on rehtey hain aur apna kam b kartey hai.
Aik bat zehn mein rhey ke moniter bilkul off nahi hota.
Balkey us ki green light red ho jati hai.
Kai bar to moniter ke dobara start honey par sab kuch hang ho jata hai.
Pc ke fan bilkul correct kam kar rhey hain.
Aur pc over heat b nahi hota.
Mene apney pc ki tamam cables change kar k b daikh liya hai.lekin yahi masla badastoor chalta hi rehta hai.
Mene lcd change kar k b daikh liya hai.
Lekin mujhey ye system ka hi problem maloom hota hai.
Now experts!
Kiu ke ap experts ho to mujhey is problem se nijat dilwa do.
I'll be greatly thankful