...Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai


Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai


woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha ke ussay sharamsaar karna hai


Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai


tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai


Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai


Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai


Khuda khabar yeah koi zid keh shouq hai Mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai