expert members mujay administrator rights orr user rights main help darkar hai.
humri company mein tamam users domain (active directory) k saat connected hain. mera masla yeh k may sab users ko adminstrator privilages nahi de saktha. lakin agar mein users ko adminstrator privilages na doon to woh apny softwaers per kaam nahi kar saktay. yani wo fully under useable nahi hota.jasa k AutoCad ka koi be version limeted account mein kaam nahi karata. may cahta hoon k mein in users ko limited rak skaon, orr wo apnay softwares per kamm be kar sakein. mery domain server per windows server 2003 or micrsoft exchange k elawa koi be software install nahi hai. kia mujay wo software server per install karnay cahey k nahi. mera dosra masla yeh k domain mein kuch drives share hain (e.g dive e, drive f, drive g) mein har user k saat her drive ko sahre nahi karan cahta. may kasy diff usres k saat different drives share karoon. yeh drives users ko domian kay saat connect karnay sa atomatic a jaty hain.


please help me.