Main b aik bacha hoon.15 saal ziada umer nai hoti.maine socha k IT DUNYA aik aisa plateform hai jis ki madad se ye baat asani se phail skti hai.
Karachi main jail ka dora kia gia jis main pta chla k Pakistan jis mulk ne sb se pehle aqwam-e-mutehida ki bachon k hqooq k mutaliq qrardad pr sign kiye the.phr 2000 main INTENATIONAL JOINAIL ARDINANCE pr sign kiye aj wohi mulk bachon k liye kia jzbat aur khidmat rakhta hai.
Jail main bachon k saath had se ziada gnda slook kia jata hai.wahan bache man k mar jaane k baad b phse rehte hain.aik man jo bache ko janam dene k baad mar jaati hai us ka bacha saari umar wahan jail main sarta rehta hai.baaz bachon se poocha gaya to pta chla k unhen yahan phsaya gaya hai.baaz ne kaha k hmen yahan zna k ilzaam main laya gaya hai.baaz ko in k aapis main jinsi taluqaat ki waja se jail main rakha ja raha hai.
Jb kisi bache k man baap fot ho jate hain to wo lawaris hojat hai.agr us k paas jaidad hai to sare rishte daar use apna bnane ki koshih krte hain.agr us k paas kuch b nai hai to sb us se door bhagte hain.phr wo bacha apne pate ki aag bhujane k liye har ghalt kam kr skta.isi tarha bohat sre bache jin umrain ziada se ziada 17,18 saal hogi wo bache ghair qanooni aslha rkhne ki waja se qaid main hain.yeh aslha umhen kisi mafia group ne dia hota hai.kion k ye bache adam tavajhee ki waja se asani se ghalt kaam krne pr amada ho jate hain phr wo pakre jaane k baad sari umer qaid ki zindagi guzarte hain.bohat saare aise bache b hain jin ki koi mulaqat nai.
Hkomat-e-Pakistan ko chahye k wo aqwame mutehida se kiye gaye wade ko nibhaye aur bachon ka mustaqbil sanware.
Awam ko b chahye keh wo in begunah bachon k mustaqbil k liye hkoomt-e-pakistan se insaaf talab kre.