Gazal no 1

Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain
Sab jaanti hoon magar phir bhi ...
Kyun tumko bhula nahin paati....
Is dil se teri tasveer hata nahin paati....
Muskurane ki koshish karti hoon lekin
Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paati...
Jab sochti hoon ki ...
Tum ho kisi aur ka muqaddar
Jalan si hoti jise mita nahin paati....
Jab barasta hai saawan toot ke kahin...
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain....
Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko.....
Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paati..




Gazal no 2

Chalo main bataon kia ho tum mere liye
meri duniya ho tum chu kar jo guzri woh hawa ho tum
main ne jo roshan ki woh diya ho tum
dil yeh kahe mere jiya ho tum kia main ne mehsoos
woh Ehsaas ho tum mere honton ki pyaas ho tum
mere baanhon ki aas ho tum meri nazar ki talaash ho tum
mere zameen ka aasman ho tum mere chehre ki kashish ho tum
mere sitaron ki gardish ho tum mere zindagi ka karaar ho tum
main ne jo chaha woh pyaar ho tum mere intezar ki rahaat ho tum
mere dil ki chahat ho tum
tum ho to yeh duniya hai meri




Gazal no 3

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz ke saher se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai