Sab Muslim sisters & brother ko

Asalaam o Alaikum

1. Ap logon se madad chahta hoon koi muslim meri help kar de. Me USA me rehta hoon. Mere Ghar me Quraan Majeed hai lakin us ko parhne me bohat diqat pesh ati he. Kyoon k wo kisi or country ka print kiya hoa he. Me parh nai pata plz ap logon se yeh kehna he kya me Quraan Majeed Online website se parh sakta hoon ya nai? Is me deeni koi problem to nai he. Muje USA me aye hoe thora time hoa he or me kafi arsay se ITDUNYA ka member hoon. To plz koi meri help karay.

2. Dosri baat ye hai ke kya me apne computer pe azan ka software instal kar ke 5 time ki azan ghar pe hi sun sakta hoon. Kyoon k masjid yahan se bohat door he. Or me abi driving nai kar sakta jab tak mere pass yahan ka valid driving license na ho.

Plz in kamon k liye meri madad kijiye

Ap logon ka aik Zarooratmand Bhai

Nadeem