ham hii mein thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake
tumne hamein bhulaa diyaa, ham na tumhein bhulaa sake


tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun
kis kii zubaaN khulegii phir, ham na agar sunaa sake


hosh me.n aa chuke the ham josh mein aa chuke the ham
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake

shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaaN
kis kii majaal hai yahaaN, ham se nazar milaa sake


raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikaayaten rahii.n
dil mein shikaayaten rahiin lab na magar hilaa sake


aisaa bhii ko_ii naamaabar baat pe kaan dhar sake
sun kar yakiin kar sake jaa ke unhen sunaa sake

ahal-e-zabaaN to hai.n bahut koii nahiin hai ahal-e-dil
kaun terii tarah "hafeez" dard ke geet gaa sake