Andaz hu bahu teri awaz pa ka tha
Dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha
Us husn e ittefaq pe lut kar bhi shad hun
Teri raza jo thi wo taqaza wafa ka tha
Us rishta e latif ke israr kya khule
Tu samne tha aur tasaawur khuda ka tha
Chup chup ke ro'un aur sar e anjuman hansu
Mujhko ye mashwara mere dard ashna ka tha
Tuta to kitne aine khanon pe zard parri
Atka hua galay mein jo pathar sada ka tha