JazakAlllah
JazakAlllah
.
sir aab yeh to aap nay ghalat kaha hai ... mere khayaal se ijtehaad k sahi qail to 4 fiqah k imam hain ... aap logo ka to her cheez ka masla ahadees se pesh kerte hain ..
yeh mujhey mere aik ahle hadees dost nay kaha hai .. aur irfan bhai ka yeh sawal main ussay bhi poochoonga ....
please aap bhi clear kernay ki koshish keejiye ga
aur haan sir iss maslay ka jawab ya to quran ki kisi ayat se yah phir kisi SAHI, Sareeh, Marfoo hadees se diya jaye ... kisi ummati ka QOL aur Apna Ijtehaad nahi hona chahiye , kiun keh Ahle Hadeees k Baqol Ummati ki Bila Daleel Baat manna taqleed hai aur ijtehaad o qayaas kerna Shaitaan ka kaam hai
Hazrat ku Itne Logon k Samne Ghalat bayani se kaam le rahe hen, mara reply zara ghoor se parrhen oss main pahle main ne aap k sawaal ka jawab diaa hy aur phir aap se sawaal kiaa hy....
aur doosri baat agar main kisi masle ka jawab hadees se deta hon tu kya os ka ye matlab hoo ga k main ne wo jawab quran se nahi diaa??? bhai hadees par ammal karne ka hukam bhi tu quran ka hi hy iss liye hadees se jawab dena bhi actully quran se jawab dena hi hy isi tarah IJMA aur Ijtihaad Quran se Sabit hen iss liye ijmaa aur ijtihaad ki rooshni main jawab dena bhi quran ki roshni main jawab dena hi hy....
Aur aap ka Taqleed article tu pata nahi kab aaye ga lakin ye neek kam main kar chukka hoon ye lijye....
http://sudes_102.t35.com/taqleed-main.htm
bilkul mukamal jawab hy ......
aur zara ye thread check kijye INSHALLAH omeed hy aap ko aap ki bhoor si ghalat fehmion ka jawab mil jaye ga.......
Mashallah
SubhanAllah
jeetay raho ap sab .
baki sab masail per baat ho sakti hai aur sab time bhi daitay hain aur apna apna point of view
lakin aj war n terror aur new world order nay jeena mahaal kar diya hai .
jihaad aur dehshat gardi , islami nizam aur shariyat ye topic sab say peche hain
aur is per koi bolta he nahi jo k sab say eham hai .
shayad ye bhi yahan k rule hoga k is topic per baat na karain
aur namaz k mamlain main uljahay rahain .
kal tak kabaili ilako main drones attack kar rahay thay
aj quetta main surgical attack ki baat kar di america nay
lakin hum busy hain namaaz per behas karne main
phir kal ko karachi main surgical attack ki dhamki aur phir attack bhi hoga
us wakt bhi hum namaz k masail per baat kar rahay honge
phir sir per a kar aik bomb giray ga .
dushman hans raha hoga aur hum mitti main mil chukay hon gay
Subhan Allah .
janab jab se islam iss dunyaa main aaya hy iss k khilaaf isi tarah ki sazishen ho rahi hen es main ghabrane wali koi baat nahi, aur rahi baat pakistan par hamle ki tu kya khiyaal hy ALLAH hame 6 lack afghanion ko qatal karne ki saza nahi de ga???? isi mulk ko bachane k liye ham ne afghanistan k musalmano k qatal e aam main amrica ka sath diaa tha na??? dekho ALLAH k AZAAB itne Dollar milne k bawajod aaj hamara mulk poori dunyaa main bheek mang rahaa hy, jis mulk ne amrici jang main apne hazaron fooji marwai aaj osi k kehne par amrica aik dr. afiaa ko chorrne par tayar nahi.....
Aur Rahi Toheed aur Namaz ki baat tu Halaat chahay kese bhi hon iss baat main kisi ko shak nahi hona chahye k Toheed aur namaz ka no. JIHAD se pahle hy.....
JazakAlllah!
Asalamu alequm app bhaion ki bohat ehem disscussion main hail hone ki mafii but mere bhaion kia Allah hum se ye sab batain pooche ga jis pe hum beheso mubahise kar rahe hain ye baat manne ke laiq he ke Immam Abu hanifa(noman bin sabit)R.A jin ka nam le ke mubahisse ho rahe hain unhki ehmiat sab se munfarid he or unhon ne mazhab main ijtihaad or jamhoore ulama ka nichore apni istitaat ke mutabaik nikal ke ummat ki bhalai chahi thi unhon ne qatan ye nahin kaha ke asal islam ye he unhon ne kaha ke meri or jamhoor ki raee or aisi baat jo aqal o qaida e deen ke manafi na ho us ko apnaya jae or shakook o shubhat ko rad kia jae yehi kam baqi teenon Imamon ne kia.or ham or hamare baroon ne in imamoon ke tareeqoon ko deen e mohammed ka nam de dia unki koshish deen ki baqa ki thi or yahan sahi ghalat pe jhagra ho raha he mere bhai Allah ka matloob musalman bano khuda ke lie ye waqt fitnoon ka he behes mubahise ka nahin khuloose dil se dawate deen mainlagjao
Bookmarks