Muhabat tark ki maine girebaa'n si liya maine,
Zamaane abto khush ho zahi'r ye bhi peeliya maine,
Abhi zindah hun lekin sochita rehta hun khilwat main,
Ke abtak kis tamanaa ke sahaare ji liya maine,
Unhen apna nahi keh sakta par itna bhi kiya kum hai,
Ke kuch muddat hasee'n khuwaabou'n main khokar jii liya maine,
Bas abto daaman-e-dil chordo be-kaar umeedo,
Bahut dukh seh liye maine, Bahut din jii liya maine......**
~~~~~<<<<<>>>>>~~~~~
Bookmarks