too aap hi bata diyeah kay din kia hai humay to taliban haq per lagtay hain koin kay unka hulia sunnat wala kaam islam walay tareeqay quran walay .......... yani jehad wagira mazeed malumat ka lia thread
what is jehad perhain(link singnature may hai)
rahi baat aman ki to phir aap iskay baray may kia kehtay hain
phir aaj se 1400 saal pehle ka zikr kerte hain keh jab RehmatullilAlameen .. hazrat Mohammad Mutafa S.A.W ... Makkah Fatah kerte hain aur Khana Kaa'ba main 360 Boot rakhay hotay hain ... jin main sab se bara Boot Hubul bhi mojood tha .... Khana e Kaa'ba main Boot Parast Kaafi arsay se abaad thay aur wo un bootoon ki bohat arsay se pooja kerte thay .. lekin Huzoor S.A.W nay un sab ki Parwa kiye Baghair na sirf Tamam butoon ko tora balkeh pooray Makkah e Mukaramah se butoon ka safaya kya .. taa keh aaindah iss pak serzameen aur Allah ki serzameen main boot parasti na kee jaye ...
iss k ilawah bohat se waqiyat sahaba R.A kay aaisay miltay hain jis main unhoon nay boot parasti ka khatma botoon ko tor ker kya hai .. keh jab wo koi ilaqa fatah kerte thay aur unko unkay apnay fatah kiye huye ilaqay main booot nazar atay thay to wo uss ko tor dete thay ...
iss k ilawah aap ko Mehmood GHaznawi .. jin ka taluq Afghanistan k Soobay Ghazni se hi hai .. un ka waqiya to yaad hoga .. keh jab unhoon nay SomNath k Boot hindustaan ka ker khud toray thay .. jab keh hindustan main hindu kaafi arsay se abaad thay .. aur Mehmood Ghaznawi Rehmatullah Alaeh ka aik Sentence jis ko tareekh aaj bhi sunehri haroof main likhti hai .. keh unhoon nay kaha ..
" MAIN TAREEKH MAIN BOOT SHIKAN HO KER APNA NAAM LIKHNA CHAHTA HOON NA KEH BOOT faroosh "
hazrat .. iss ka matlab aik to yeh huwa keh aap nay apnay 2 points ki to nafi khud hi ker di ... yaani keh .. sikhoon ka alag rung aur aurat ki azadi ki ..
yeh 2 points per yaani keh aap mujh se agree hain .. tab hi aap nay uss per baat kerna pasand nahi fermai .. chalain JazakALlah ..
Allah hum sab ko aaisi samajh ata fermaye ..
aab jahan tak huzoor SAW ka sahaba ko talqeen kerna hai .. to mere bhai bayshak yeh sahi hai .. aur aap agar taliban ki history balkeh TV per un per kiye gaye programs ko hi dekhain to aap ko sikhoon k point of views main jo afghanistan main rehte hain aik baat millay gi keh sikh khud yeh aiteraaf kerte hain keh taliban k dorr main woh zayada mehfuz thay .. na keh america k dorr main ...
taliban nay kabhi bhi sikhoon k ooper zulm aur jabar nahi kya hai .. aur na hi kabhi unki ibadat gahoon ko nuqsan pohanchaya hai ... aur na hi kabhi unki ibadat gahoon k ander ghuss ker unkay bootoon ko tora hai ...
yeh Bamiyaan k Boot torna iss waja se zaroori tha keh aik to yeh kisi ki milkiyat ya kisi ibadat gah main mojood nahi thay .. balkeh yeh taliban k ilaqay main mojood thay ... aur agar boot aap k apnay ilaqay main ho to aap ka haq hai keh aap uss ko toro ya nahi toro ...
mainay itni examples deen lekin aap nay aik bhi example ya hawala de ker yeh nahi samjhaya keh kahan bootoon ko tornay se huzoor SAW nay mana kya hai ...
Hazrat ibrahim A.S nay boot kaa'ba k ander nahi balkeh BABUL jo keh Iraq main hai wahan toray thay .. for ur info ... aap nay likha keh boot kufur k thay to bhai boot saray hi kufur k hotay hain ... koi Islamic boot bhi hota hai to mere bhai mujhey bataiye ...
aap mujhey bataiye .. kya taliban .. bamiyaan k bootoon ko .. british museum main bech dete .. phir bhi kafir musalmanoon ko aman pasand kehnay k bajaye islam ka mazak hi uraatay keh musalman chand pesoon ki khatir boot shikan honay k bajaye boot parast ho gaye ...
yaar samajhnay ki koshish kero .. islam peaceful mazhab hai lekin iss peace ka matlab yeh nahi keh kafir sar e aam aap ki maa behen ki izzat lootay .. aur aap peace peace kerte huye usssay kuch na kaho keh islam aik peaceful mazhab hai ... bhai .. izzat aur ghairat ka taqaza hai .. jab hi huzoor SAW bait e rizwan kerte hain .. jab Hazrat Usman R.A ko shaheed kernay ki afwah urti hai to huzoor SAW sahaba se mout per bait kerte hain ...
kya uss waqt yeh situation nahi thi keh Huzoor SAW peace ki baat kerte ..
Bamiyaan k boot torna aik dam sahi amal hai .. kiun keh aik ghairat mand musalman yeh nahi chahay ga keh Allah ki sarzameen per wo Boot shikan honay k bajay Boot parast kehlaye ...
Allah samajhnay ki tofeeq de .. ameeen
bhai bayshak .. pooray islam per to taliban nahi chalay ...
lekin iss poori duniya main aur mulkoon k muqablay main jitna taliban islamic sheriyat per chalay .. itna koi nahi chala ...
aap khud hi history aur halaat utha ker dekh lo .. aur compare ker lo .. keh kon si islamic sheriyat ko kon si govt nay sab se zayada laagoo kya hai ...
i think taliban nay jitna islam aur iss k qawaneen per amal kya hai kisi aur nay nahi kya .. jab hi afghanistan main taliban k zamanay main sheriyat per amal kernay ki barkat se jitna aman tha ... aab dobara kabhi nahi aye ga
آج کے مسلمان کے لیے یہ چیلینج ہے کہ وہ مغرب کے اس الزام کو غلط ثابت کرے کہ ہم مسلمان تنگ نظر ہیں اور ہم کسی دوسرے مذھب کے ساتھہ نہیں رہ سکتے
جب محمد بن قاسم رحمتہ اللہ علیہ نے سندھ کے علاقہ دیبل میں راجہ داہر کو شکست دی تو وہاں کے ھندو مسلمانوں کے حسن سلوک سے متاثر ہوے حتی کہ کچھ ھندووں نے محمد بن قاسم رحمتہ اللہ علیہ کے بت تک بنا لیے بہرحال اسلام بت پرستی سے منع کرتا ہے
لیکن اسلامی تاریخ میں کسی بھی جگہ کبھی دوسرے مذہب کی عبادت گاہ کو تباہ نہیں کیا گیا اور نہ ہی غیر مسلم کے ساتھہ ہتک اُمیز رویہ رکھا گیا
اگر مسلمان ممالک یا اقوام دوسرے ممالک کے غیرمسلموں کےساتھھ ایسا رویہ کریں گے تو اُن مسلمانوں کا کیا ہوگا جو امریکہ اور یورپ میں آباد ہیں
ایک دفعہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس عیساییوں کا ایک وفد (نجران یمن) سے آیا اور وہ عیسایی اپنی عبادات کرنا چاہتے تھے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے اُن کو مسجد نبوی کے اندر عبادت کرنے کی اجازت دے دی
اُج بھی مشرق وسطی (عرب ممالک) میں قبطی عیسایی لاکھوں میں اُباد ہیں اور یہ اصلی عیسایی ہیں جو سیدنا عیسی علیہ السلام کے وقت سے یہاں اباد ہیں
اسلام دوسرے مذاہب سے اس لیے الگ ہے کہ یہ اپنے اندر کسی قسم کا تعصب نہیں رکھتا
good
Taliban asre hazir ki zalil tareen makhlooq hain jo kutton ki tarah Amrica , israil or bartania key tukron per pal rahe hain musalmano ko khatam kernaey key liye.
I m 100% Agree with you Brother......mere 1 jan'ne wale hain wo P.U se P.H.D kr rhe hain.....unhon ne jb Medical main Admission lena tha to wo Taliban dor main Afghanistan b gae.....
Un ka kehna tha k main ne khud Aorton ko Akela bahir ghoomte dekha(Burqa main)..
aor phir ba'ad main to Larkiyon ko Kabul University main Admission b diay gae......Jang columnist ANWAR GHAZI ne apne Safarname main likha hay k main jb Kabul University main gya to main ne wahan bahut c Larkiyon ko dekha......jb un se Question kya k Taliban ne tumhen kese de di Ijazat...to un ka kehna tha k Taliban to sirf behayai se rokte hain....
Allah ham sb ko Hidayat aor haq ki smajh naseeb frmae
I just say
Very nice sharing
tum logoon ko yahodioon ki charbi charh gai hay bhai...........pehlay bukhari shareef aur sahi muslim ka mutala karo...aur aik baar zindagi main Sorah-e- baqara parho tarjumay kay saath.......phir baat karna.. deen ki...main tum logoon say koi behes nahi karna chahta.......jub america main, falasteen main musalmanoon per zulm hota hay to kuoon khamosh bathtay ho.......taliban ki tarha is ki bhi mukhalfat kia karo...jab kuoon goongay ho jatay ho tum log.....us waqt mazhabi azadi ka daras jo tum day rahay ho...kahaan chala jata hay.........muslims per pori dunia main scarf pehenay per pabandi lagai gai..laikin us waqt tum log kuoon chup rahay.....bhai.... yahodioon ki zaban nahi bolo....yahood o nisara kabhi tumharay dost nahi ho saktay.......Quran main hay yah......
beher haal main mazeed behes nahi karoonga....
"Allah jisay chahta hay hidayat daita hay"
Bookmarks