Main Aap ki baat se 100% Agree HunChalain janab .. aik acha huwa keh aap nay mojoodaah naam nihaaad taliban k bajaye .. asli taliban ki sheriyat ki baat ki hai ... jis per main aap ka mamnoon hoon keh akhir asli taliban k baray main bhi baat kernay ka moqa millay ga ...
1) sab se pehle aap nay yeh baat samjhanay ki koshish ki hai keh wo buddha k mujasmay torna ghalat baat thi jis ki wajah se taliban aur musalman ka impression doosray non muslim nations per bura aur ghalat para ...
aaiye hum iss cheez ko apni tareekh aur islami waqiyat k tanazur main dekhtay hain ...
bootoon ko tornay ka sab se pehla waqiya .. Hazrat Ibrahim A.S k zamanay main ata hai .. jab Hazrat Ibrahim A.S nay apnay qabeelay aur Qoum .. jo keh BABUL main bohat arsay se abaad thi ... wahan un kay butoon ko tora ... Jis ki waja se Hazrat Ibrahim A.S ko Namrood nay AAG main dala ... shayad un ka qasoor yeh hi tha keh unhoon nay BUtoon ko tora .. aur yeh nahi socha .. keh issay wo log kya sochain geh jo keh Boot Parast hain keh kya Ibrahim A.S k rabb nay yeh hi sikhaya hai .. ya Ibrahim A.S aman ka ****** dete na keh Boot tornay ka .. Lekin Hazrat Ibrahim A.S nay Botoon ko tor ker sab se pehle Boot Shikan bhi huye ...
phir aaj se 1400 saal pehle ka zikr kerte hain keh jab RehmatullilAlameen .. hazrat Mohammad Mutafa S.A.W ... Makkah Fatah kerte hain aur Khana Kaa'ba main 360 Boot rakhay hotay hain ... jin main sab se bara Boot Hubul bhi mojood tha .... Khana e Kaa'ba main Boot Parast Kaafi arsay se abaad thay aur wo un bootoon ki bohat arsay se pooja kerte thay .. lekin Huzoor S.A.W nay un sab ki Parwa kiye Baghair na sirf Tamam butoon ko tora balkeh pooray Makkah e Mukaramah se butoon ka safaya kya .. taa keh aaindah iss pak serzameen aur Allah ki serzameen main boot parasti na kee jaye ...
iss k ilawah bohat se waqiyat sahaba R.A kay aaisay miltay hain jis main unhoon nay boot parasti ka khatma botoon ko tor ker kya hai .. keh jab wo koi ilaqa fatah kerte thay aur unko unkay apnay fatah kiye huye ilaqay main booot nazar atay thay to wo uss ko tor dete thay ...
iss k ilawah aap ko Mehmood GHaznawi .. jin ka taluq Afghanistan k Soobay Ghazni se hi hai .. un ka waqiya to yaad hoga .. keh jab unhoon nay SomNath k Boot hindustaan ka ker khud toray thay .. jab keh hindustan main hindu kaafi arsay se abaad thay .. aur Mehmood Ghaznawi Rehmatullah Alaeh ka aik Sentence jis ko tareekh aaj bhi sunehri haroof main likhti hai .. keh unhoon nay kaha ..
" MAIN TAREEKH MAIN BOOT SHIKAN HO KER APNA NAAM LIKHNA CHAHTA HOON NA KEH BOOT PARAST "
aab aiye iss cheez ko taliban k nazariye se dekhtay hain .. taliban nay un botoon ko jo keh bamiyaan main mojood thay .. nabiyoon ki Sunnat ... Sahaba ka amal .. aur apnay buzurgoon ki ataa't kerte huye toray ... keh jab Japan aur British hukoomatoon nay un bootoon ko na tornay k liye taliban ko raqoom pesh kerna shoroo kee .. aur yeh tak kaha keh hum in bootoon ko iss pahar se nikal ker british museum main rakh denge ..
lekin choonkeh taliban jahil , unparh , ganwar thay isi waja se unhoon nay un bootoon ko bechnay k bajaye ... un ko tornay main afiyat samjhi .. taa keh un bootoon kay aagay iss duniya main aab koi aur na jhukay ... haan agar aap nabiyoon ki sunnat .. aur sahaba k amal .. aur buzurgoon ki ataa'at kernay ko .. jahalat baywaqoofi kehte ho ( na-aaozobillah ) to phir to aap theek ho .. agar nahi to mere bhai .. her cheez ko uss k apnay nazeriye se dekho .. taliban bayshak .. jahil unparh sahi .. lekin un ka yeh amal .. sheriyat k bilkul mukhalif nahi hai ...
Allah hum sab ko samajhnay ki tofeeq de ...
2)
doosri baat aap kehte hain keh unhoon nay sikhoon ko khas kism ka kapra ya ID Card laganay ko kaha .. to iss main tung nazri kesi hai yeh mujhey samajh nahi aaraha hai ...
aik to aap ko pata hona chahiye keh taliban k dorr ko khud aaj sikh yaad kerte hain afghanistan main keh taliban k dorr main wo jitnay safe thay .. utnay kabhi nahi huye ..
yeh aap azaad media se khabrain parhain uss zamanay ki aap ko pata chal jaye ga ..
rahi baat kapray ya id card ki to mere bhai yeh iss waja se keh namaz k ooqat main wahan per dukaanain bundh kernay aur namaz parhnay ka riwaaj tha .. to sikhoon ko khas id card k zeriye aik shanakht deni thi keh hum sikh hain lihaza hum namaz se mustashna hain .. aab iss main kya burai hai mujhey samjha do .. yeh amal to aaj kal saudia main hota hai keh non muslims namaz k oqaat main beth jatay hain ya peechay haath baandh lete hain jis se samajh ajata hai keh yeh non muslim hain :S .. saudia arabia ko to aap tung nazar nahi kehte ho bhai ...
3)
Hazrat sab se pehle to aap ko main aik baat bataoun jo shayad aap ko kisi nay issay pehle nahi batai ho .. kya aap jantay ho keh taliban ki hukoomat se pehle afghanistan k bohat se hissoon main khawateen ka kya haal tha ?? un ko sar e aam becha jata tha .. un kay bazar lagtay thay .. aur pata nahi kon kon si buraiiaan theen jo keh main yahan nahi likh sakta hoon ...
Taliban nay atay hi sab se pehle aurtoon k bahar nikalnay per pabandi lagai .. iss baat se main agree kerta hoon lekin agar aap iss cheez ko uss tanazur main dekhain keh pehle kya hota tha to ap ko yeh bura nahi lagay ga keh waqti tor per yeh kerna zaroori tha .. kiun keh mulk main jo bayhayaii aur aurtoon ki tazleel horahi hai uss se bachnay ka sab se munasib hal yeh hi hai keh aurtoon ko bahar nikalnay .. mulazimat aur in cheezoon se uss waqt tak durr rakha jaye jab tak maashray main bayhayai aur burai kam ho .. phir aahista aahista wo mukhtalif shobooon main hissa lay sakain ..
issi waja se aap dekhtay hain keh 1999 aur 2000 k awail main aurtoon ko khas kism k shoboon main taliban nay kaam kernay ki ijazat de di thi .. jese keh teaching aur medical ka shoba hai ...
her cheez ko negative lene se koi faida nahi hota .. kuch positive aur haqaiq ko rakh ker bhi sochtay to achi baat hoti ..
aab aap mujhey bataiye .. keh afghanistan main taliban na nizaam , sheriyat ki kis roo se islam aur nabi S.A.W ki taleemat .. aur sahaba R.A k bataye huye amal se takrata hai .. Insha Allah aap ko mukammal jawab doonga ..
mujhey aap ki post ka intezaar rhay ga Mohammad Ishaq Sahab .. kiun keh aap nay itni bari baat likh to di . lekin baghair sochay samjhay
JazakAllah o Khair
Bookmarks