matlab mere pas cable net hai to main ye poochna chahti hoon ke kahin wo hamarey computer ki sari maloomat to nahin le sakta ager dekh sakta hai to kya dekh sakta hai?
matlab mere pas cable net hai to main ye poochna chahti hoon ke kahin wo hamarey computer ki sari maloomat to nahin le sakta ager dekh sakta hai to kya dekh sakta hai?
Jee Nahin Woh Dekh Nahin Sakta
Per
Dekh Bhi Sakta hai ager us ne app ke computer mai koi Remote software run kar diya ho to sab kuch dekh sakta hai
aur malumaat ke liyan app apnay network ke bare mai detail se batain
kon si service hai kon sa proxy server hai ya domain hai phir mac or arp..............
FIH AMAN ALLAH
essa bhi hota hai keh cable wala khud bhi Aap keh pc folder sharing pe laga deta hai aur woh kahin se bhi Aap keh folder copy kar sakta hai yad rahe jo folder sharing pe laga hota hai us keh nichay hand bana hota hai
han ya sahi bat hy
bilkull aisa nahi hai koi kisi ki file folder ko saharing per nahi lagha sakta
chahai server per linux he q na hoo
aghar ap ko apna difa karna ata hai to
baqi aghar koi pc kai barai mai maloomat nahi rakta to us kai pc sai aghar data ghayib ho jayai to yai us ki ghalti hai q kai apni protection seekna pc ko protect karna zaroori hai
kouch loog ip daikar admin sai login honai ki kosish kartain hain
or $ kai sat login ho jatain hai yai koi hacking nahi hai
windows jab start hota hai to yai auto drive ko $ sharing per lagha daita hai jis ki vaja sai ap ka pc protection mai fail ho jatha hai laikin is kai aik asan sa or bohat
acaha hall hai
ap notepad ko open karain or us mai yai likai
net share C$ /delete
net share D$ /delete
net share E$ /delete
net share F$ /delete
net share G$ /delete
net share Admin$ /delete
or us ko share.bat kai name sai save kar dain ab ap ki jo file bani ho ghi us ko startup mai rakain or mazai karain
ho sakta ha
net work monitring ker letay hai dear
proxies say bhi kaam chala letay hain
kernay walay bahut kuch ker letay hain
they just need time to think and things to implement.
aur ager kissi ko black mail kerna to bahut fit aur jaldi ker lety hain.
They even know k app ka TV on ha ya nahi kon sa channel tune ha aur app dekh rhay hain.
DUNIYA MAIN BAHUT SAY BHI ZIYADA HO JATA HA.
but baat wohi hai k time to think and things to implement.
SAHIL 03015291889
main aik bahut remote area main rehta hon. Yahan internet bahut kum kisi ki use main ha mera aik dost city main rehta tha uss ka cable office tha main nay khud usay ker k diya tha. but iss project main mera aik month laga tha.
boht sarey methods hian jis se woh kur sukta hia... possibilty hia ke woh ker sukta hia... lekin yeh os pe depend kurta hia ke woh kitna expert hia...
ap os ke network ka hissa ho....... he can do
agar ap ke pass is ki achi information ho gi koi bhi app ka system hack nahi kar sakta
Mobile number not allowed...ITD Team
Bookmarks