yi meri pahli request hai - omid hai aap meri madad karingi
mira computer hang hojata hai - hard disck bhi check karali, RAM bhi thik hai
phir kia waja hai kah computer hang hojata hai - please madad karin
afsar bangash
yi meri pahli request hai - omid hai aap meri madad karingi
mira computer hang hojata hai - hard disck bhi check karali, RAM bhi thik hai
phir kia waja hai kah computer hang hojata hai - please madad karin
afsar bangash
Jub se ye hang horaha hey us se phele apne kya install kya tha.
Wavo! zabardast kia tarika hai deal karni ka -
pc par xp install tha
mai cable net istimal kartha hon, kabhi kabhi virus bhi ajatha hai magar wo clean karlita hon - magar abhi hang honi ka silsila bohut howa, hard disk ko market sai check karaya - koi bad sector nahi nikla, bar bar format kia, RAMs bhii bar bar badal badal kar check ki wo bhe thik hin - liken abhi xp installation ki dawran bech may ruk jata hai - agai he nahi barta hai - aik hafti say bikar para hai pc - mira bohut zaroori kam hota hai computer par -
koi mazboot hal batin - Allah de mal shah
Afsar bangash
So i must say apne ram ko check kya hey lakin kya pata ji check ki hoon wahi kharaab hoon or bios mein bhi problem hosakta hey.Apna motherboard check karein.
- RAM nae likar check karlonga
- BIOS ko kis tarah check karon - any hint?
- Mother Board ko kis tarah check karon - Kia naya kharidon?
(Lumba kharcha lagtha hai)
Afsar bangash
Jese app ne hardisk check kerwai thi market se isi tarah bios or motherboard ko bhi check kerwalein.
dreamweaver bhai hamara masla b hal kar dein mujh gharib ki thread mei b reply kar dia karein sir ji.
ok
App Ka Computer Windows Main Appnay Ke Bad Hang Hota Hai Ya Phir Booting Screen Per Hi ho Jata Hai ?
Apnay System Se Proccesor Aur Rams Utar Lain Aur Phir Se Laga Dain
Yaad Rahe Agar Rams 2 Hain to Ek Phele Check Karain Dosri Baad Main
FIH AMAN ALLAH
hmm janab anti virus install hai too woh remove kar dain INSHALLAH hang nahi hoga
[IMG]http://www.************/uploads/f5efcfc73a.gif[/IMG]
Aik aur wajah computer hang honay ki cpu fan aur heat sink hay. Jab processor heatup hota hay to computer hang ho jata hay. Computer ka cpu fan check karen (dekhen kay theek chal raha hay) aur heat sink saaf kar len. Setup main ja kar pc health section main check karen kay cpu zone ka temperature kia hay.
Bookmarks