Tamam ITD k members ko mera
Doston maine kuch din pehle akhbar main aik ishtihar dekh kar Canada k liye aik consultant ko phone kia.. Main wahan ja kar Engineering karna chahta hu. Us ne mjhe kaha k hum apko English as Second Language k diploma main admission karwa k bhejenge kyu k us main visa jaldi lagta hai.. Wahan ja kar aap apna course tabdeel kar k engineering main ajana.. Mera aap sb se ye sawal hai k kya aisa mumkin hai k course tabdeel karlia jae.. Aisa na ho wahan ja k main na yahan ka rahu na wahan ka aur 2 saal zaya kar k pakistan ki hi kisi university main engineering main dakhla le raha houn? Apni duaon main yaad rakhiyega aur achay achay mashwaray dijiyega.. Maine A-Level kia hai is k liye b mjhe kuch mashwara dain bahar janay k hawalay se.. LONG LIVE ITD!!!
Bookmarks