786
Assalam 0 Alyqum
"Zara nam ho to ye matti bari zerkhaiz hai"
Es jumle main jo baat posheeda hai wo main apne lafzoon main kuch ese beyaan kroonga,,,,,,
k
Hamare Perwar digaar ne jo kainaat hamain ata ki hai es main her wo cheez jo banai gai hai wo Insan kliye hi banai gai hai ab ye insan k oper hai k wo kis nazariye se usse leta hai ya dekhta hai ,,,
jese asmaan main chaand hain sitare hain ,,,mgr haqeeqat main wo matti aur pathar k siwa kuch bhi nh ...mgr ba wajood es k wo hamain chamakte hue dikhai dete hn ,,,
dekha jaye to ye roshan hojana ye ye sitaroon ka jhilmil krna ye sirf enka apna hi kamal nhi hai agr Soraj na hota to chand kese sanwarta ?
sitare kese jhil mil karte ?
bilkul ese hi hamare Pakistan main sab loog
chand
hain sab loog
sitare
hain ...mgr afsoos yhaan
soraj
nhi,,
jis din hamare Pakistan main Soraj agia
to
hum sab ese dunya main
chamke ge
jhilmil karainge
k
Dunya k baqi sab loog
hum per Rashk karainge
Es Dunya main bhi aur Akhrat main bhi
Inshallah Tala
Bookmarks