plz mughay Virus,Spyware & Trojans ka basic difference batayai ga , 2nd yai ki straha generate hotay hayn jaisay spyware ads say generate hotay hayn ....???
plz mughay Virus,Spyware & Trojans ka basic difference batayai ga , 2nd yai ki straha generate hotay hayn jaisay spyware ads say generate hotay hayn ....???
Bhai jan Virus usay kehtay hain jub app ka computer bohat slow kam kar raha hota hain or koi bhi application ko open karnay mein bohat time leta hai. or virus ziyada tar usb k zaryee aata hai.
Trojan usay kehtay hai jub app k computer mein application open nahi hoti or system bar bar hang ho jata hai or yeh ziyada tar fake website k zaryee aata hai.
Spyware ka tou app ko pata hi hai.
REMEMBER...
The shortest distance between a problem and a solution
is the distance between your knees and the floor.
The one who kneels to Allah,
can stand up to anything.
thanks janab ! thora or clear karna plz kay trojans web access karnay say ata hay toh spyware-adware bhe toh web access karnay say ata hay toh diff kia huwa??
Virus:
Virus use kehte jo Aap ke computer mein ghus kar aapke Hardware aur software par apna Qbza jama leta hai aur jo aap ko pata naheen chal pata... yeh khud hi nai program files banaleta hai... aur phir aik program ki tarah work karne lagti hain....
aur har virus alag alag tarh kam karta hai..
Trojan:
Trojan aik unani kahani Trojan Horse se liyagaya hai jis mein yeh bataya hai kuch ladakoo jab kisi city par hamla karte the to lakdi ke bane Horse mein chup kar city mein dakhil jinhen city ke log Gift samajhte hain aur unhen aane dete hain.... isi tarah Trojans zyada khatarnak to naheen hote balke hackers ke liye PC mein dakhil hone ke raste kholdete hain...
Spyware....
Spyware lafz spy se bana hai jis mani jasoosi ke hain....spyware Aap ki personal infomation ikattha kar lete hain aur unhen un hackers tak pahuchate jin ke zareea spyware computer mein aate jaise Free software websites etc.
Bookmarks