kya doston mein se kisi ko pata hai keh Drone Attack kis type k attacks hein, yeh kaise hotey hain or kis qader nuqsaan pohnchatey hain waghera... ?
shukrya.
kya doston mein se kisi ko pata hai keh Drone Attack kis type k attacks hein, yeh kaise hotey hain or kis qader nuqsaan pohnchatey hain waghera... ?
shukrya.
bhai drone america ka without pilot airplane hai
ye america sai via sattelite control hota hai aur aik maqsus target par hamla karta hai.
ye chote kisam k Nuclear weapons lai kar jane ki bhi capacity rakhta hai
U r write zain bhai, aajkal America pak me kuch places par inke dwara hi attack kar raha hai.
bhai yeh IT forum hai. iss may IT k bary may Sawal kia karo.
aap doston ka bohot shukrya...
agar dekha jaey to Indirectly yeh question computer se hi related hai bus technology Advance hai
yar amrica kuch nahi hai bus muslaman akhtay ho kar aik nara laga gayn ko yeh bag jayn gay....kash aisa ho kash yeh sub aik amir mushraf ka kai dara hai dear.....
agreed with first half but not (totally) with second half, yeh musharraf akailey ka kya dhara nahin, pakistan ki puri tareekh dekh lein her bar sir sharm se jhukta chala jata hei ( jo sir ALLAH k huzoor sijdon se katratey hein woh in dunya walon k aagey hi jhuktey hein ).
yeh baat hum sub bhi jantey hein keh america se jo bhi Deedah-Delairy se baat karega yeh log us se dareingey magar hamarey hukmranon ko sirf is baat ka khof rehta hei keh kaheen in ki Ayyashiyan aur VVIP protocols nah chin jaeyn aur in cheezon k liye yeh log zuroori samajhtey hein keh america ko khush rakkhein ( bastards ).
ALLAH hum sub ko apney hifz-o-amaan mein khair-o-aafiyat se rakkhey (aameen)
drone ka asal naam predator hai.jo ke old version thaa.ye sirf 2 missile jin ka naam hellfire hai le ja sakta tha .laikin ab america ne aik naya version banaya hai jis ka naam reaper hai.or ye taqreeban 14 hellfire nami missile le ja sakta hai.
hellfire aik laser guided missile hai.or predator and reaper dono ko bohot door kisi bhee ground control station se control kiya jata hai.is main bohot zabardast cameras lage hote hai jo live video dikhate hain ground station per.wahan se jab wo target select kar lete hain tau phir wahan se hi drone ko missile fire ki command dete hai target lock karne ke baad.phir missile fire ho kar target par lagta hai.or tabahi kitni hoti hain ye tau aap news main dekhte he hain
Koi bhai drones ki pictures bhi share kar de plz. mere computer se upload nahi ho rahi.
Loading...
Please wait...
yar youtube per bohot ziada videos or documentries mojood hain aap wahan se dekh lo.predator uav ke naam se zara google main bhee search kar lo bohot kuch mile ga
Bookmarks