Wah wah
Wah wah
Rafta-rafta woh meri hasti ka
samaan ho gaye,
Pehle jaan, phir jaan-e-jaan phir
jan-e-janaan ho gaye,
Din-badin barhti gayin is husn ki
raanaaiyan,
Pehle gul, phir gulbadan, phir
gulbadamaan ho gaye,
Ap to nazdeek se nazdeektar
aatay gaye,
Phir dil, phir dilruba, phir dil ke
mehmaan ho gaye,
Pyar jab hadh se barrha saray
takalluf mitt gaye,
Ap se phir tum huye, phir tuu ka
unwaan ho gaye..
Andheron main bhatakna hai
pareshani main rehna hai,
Main jugnuu hoon mujhe ik shab
ki veerani main rehna hai,
Abhi kuch zabt ka yaara meri
ankhon main baaqi hai,
Abhi ashkon ko palkon ki
nigehbaani main rehna hai,
Jo manzar rubaru hai dekh luun
ik baar jee bhar ke,
Phir is ke baad to aankhon ko
hairaani main rehna hai,
Teri wehshat samajhta hoon ae
meri aarzuu lekin,
Tujhe kuch din abhi is dil ki
veerani main rehna hai,
Tu phir kyun laut kar har baar aa
jati hai saahil pr,
Agar in kashtiyon ko umar bhar
paani main rehna hai,
Issi umeed pr to kaat leen yeh
mushkilen hum ne,
Ab is ke baad to ae ‘shaad‘
aasaani main rehna hai
urdu dard bhari poetry
Aur zikr kya kijiye apne dil ki
halat ka,
Kuch bigarrti rehti hai kuch
sambhalti rehti hai..
Ek shakhs ko chaha tha,
Taaron ki tarha humne
Ek shakhs ko chaha tha,
Apno ki tarha humne
Ek shakhs ko samjha tha,
Phoolon ki tarha humne
Wo shakhs qayamat tha kea,
Uski karein batein
Din us ke liye paida, Aur
Uski hi thi ratein
Kum milta kisi se tha,
Hum say thi mulaqatein
Rung uska shahabi tha,
Zulfon mein thi mehkarein
Aankhen theen ke jadu tha,
Palken theen ke Talwaaren
Dushman bhi ager dekhey,
So jaan say dil harain
Kuch Tumse wo milta tha,
Baton mein shabahat thi
Haan tumsa hi lagta tha,
Shokhi mein Sharart mein
Lagta bhi tumhi sa tha,
Dastoor e Mohabbat mein
Wo shakhs aik din humen,
Apno ki tarha bhoola,
Taaron ki tarha dooba,
Phoolon ki tarha toota,
Phir hath na aya wo,
Humne to bohut dhunda!
Tum kis liye chonkey ho ?
Tum kis liye chonkey ho! Kab
ziker tumhara hai
Kab tumse takaza hai, Kab tumse
shikayat hai
Ek Taza Hikayat hai sunlo, To
inayat hai
Ek Shakhs ko chaha tha,
Taaron ki tarha humne
Ek shakhs ko chaha tha,
Apno ki tarha humne
Ek Taza Hikayat hai sunlo, To
inayat hai
- - - Updated - - -
Asani se koi mil jaye to wo
kismat ka sath hai,
”Dosto”
Sab kuch kho kar bhi,
jo na mily usay mohabbat kehtay
hain
Khabar nahi thi Jo khuwab mein
hai
Wo khuwab mein bhi na mil saky
ga
Khabar nahi thi kisi bhi rutt mein
bhi
Ye phool dil ka na khil saky ga
Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam
Wo un-kahi thi ke na rasai
Jo qurbaton ka na aya mousam
Ye mein ne socha kabhi nahi tha
Ke sochne ki saza mily gi
Muhabbaton ki praayi, baarishon
mein
Bheegne ki saza mily gi
Badal geya hai qareeb aa ke
Khuwahishon mein nahaya
mousam
- - - Updated - - -
Dikhla ke jhalak ruposh huwe
tum sath nibhana kiya jano,
Tum aag lagani seekh gaye
tum aag bujhana kiya jano!
Kisi ko jeeta kaise jata hai ?
Apna dil haar kar.
Aur dil kaise haara jata hai ?
Apni zaat ko mitti mein mila kar.
Aur ager tab bhi wo na milay,
Jiski tamna ho tou ?
Tou sabar kar liya jata hai, ALLAH
kisi ki reyazat ko raegaan nahi
karta
Aik kaam hai apse ,,,
Zindagi ban jaye gi humari…
Zayads kuch nahi bus …
Bhul janey ka Hunar humein bhi
seekha do
Ashk Aankhon Mein Chhupatay
Huway Thak Jata Hun..
Bojh Paani Ka Uthaatay Huway
Thak Jaata Hun..
Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per
Unhain Ehsaas Nahi..
Main Nishaanaat Mitaatay Huway
Thak Jaata Hun..
Barf Aisi K PighaLti Nahi Paani
Ban Kar..
Pyaas Aisi K Bujhaatay Huway
Thak Jaata Hun..
Achi Lagti Nahi Is Darja
Shanasaayi..
Haath Haathon Say MiLaatay
Huway Thak Jaata Hun..
Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar_e_
Mohabbat Hai K Main..
Ronay WaaLon Ko Hansaatay
Huway Thak Jaata Hun..
Itni Qabrain Na Banao Mery
Andar..
Mohsin
Main Charaaghon Ko JaLaatay
Huway Thak Jaata Hun..
Phool khiltay hain
Log miltay hain, mager
Pat jhar mein jo phool murjha
jaty hain
wo baharon k any se khiltay nahi
Kuch log ek roz jo bichar jaty
hain
wo hazaron k any se miltay nahi.
Shayad Ye Zamana Unhain
Poojne Lage Sajjad
Kuch Log Iss Khiyal Se Pathar Ho
Gaye
Kisi Din Hum Bi Doob Jayen Gy Es
Suraj Ki Trha Ghayas
Phir Aksar Tujhy Rulayee Ga ya
Shaaam Ka Manzar
Bookmarks