yeh charaagh be_nazar hay, yeh sitara be_zubaa'n hay
abhi tujh say milta julta , koi doosra kahaa'n hay
wahi shuks jis pay apnay dil_o_jaa'n nisaar kar doo'n
woh agar khafa nahi hay ,tu zaroor budgumaa'n hay
kabhi pa kay tujh ko khona , kabhi kho k tujh ko pana
yeh janam janam ka rishta teray meray darmiyaa'n hay
meray saath chalnay walay tujhay kiya mila safar main
wahi dukh bhari zamee'n hay wahi ghum ka aasmaa'n hay
unhi'n raastoo'n nay jin par kabhi tum thay saath meray
mujhay rook rook poocha ,tera humsafar kahaa'n hay...
Bookmarks