Page 50 of 50 FirstFirst ... 4047484950
Results 589 to 594 of 594

Thread: Dajjal Kon Ho Ga ? Dajjal Ka Fitna Kesa Ho Ga ? By Faseeh Ud Din (PART-2) Must See

  1. #589
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    Quote samrasyed said: View Post

    apki ye post google search say mili jis ko parh k mujhay majboran is website pay apni ID bana k apko ye batana zarori laga k apki likhi hui dajjal say mutaliq information naqis hay or apko is tarhan k nazuk or ehem maslay pay itni choti umar may kuch bhi likhnay say pehlay Ahadees ki roshni may wazeh saboot k sath baat kerni chahye na k ye bahaney k meri woh kitab paros ki aunty lay gue hain ya falan Hadees itni lambi hay k main likh nahi sakta waghaira waghaira... meri ap say darkhaast hay k deen e islam ko bacchon ka khail samajh k na khailain or jo bachkana andaz ap nay apnaya hua hay is shadeed ehem maslay k liye us k liye ap k father ko keh k ap ko do thapar parnay chahye... agar ek bar bhi ehsas ho gaya k ap kia nadani ker rahey hain to ek saal sajday may sir rakh k baitho gay to bhi socho gay k Allah nay maaf kia ho ga k nahi is nadani pay...
    meri buhat addna si request hay k pehlay apna ilm barhao ek do saal is topic pay acchey say parho us k bad likhna start karo.. parhnay k liye agar refrences chahye hain books k to main apko dayti hon.. lakin main apko 2000 or 3000 pages ki mukhtalif zubano ki kutub refer karon ge jin may is topic pay hain or itnay badey badey mufakir or philosphers ki hain jinhon nay apni zindagi k 20/20- 25/25 saal sirf isi baat ki tehqeeq may nikal diye k dajjal hay kia cheez us k bad unho nay zuban kholi sirf is liye k unki zuban say is topic pay koi ghalat baat na nikal jaye or woh ibn e adam ko behkaney ki ghalti na ker dain is liye itni research k bad jab unho nay kuch likha hay to itna wazahat k sath likha hay k dajjal ka baal or dajjal ki ankh kaysi hoge ye tak apko pata chul jaye ga woh kon si sawari use karey ga woh kia kia kuch ker raha hay mojooda door may or apney kharooj k baad kia kia or kaysay karey ga apko lug pata jaye ga.. apney baal noch lo gay ye tasavoor ker k k kahen ap or main bhi dajjali nizam ka hissa to nahi samnay guzarnay wala her insan mushtubah lagey ga.. un maqamat ka soch k ap safar kerna chor do gay.. kia kabhi socha hay k tum makka shareef janey say mana ker do gay?? dajjal aysa he hay k tum Makka shareef bhi nahi jao gay..
    itni badi ghalti ap nay likhi hay k mujhay shadeed ghussa aa raha hay parh parh ker.. jab knowledge nahi hay to beta bina sochay samjhey deen ko mazaq na banao...
    dajjal koi Hazoor SAWAW say pehlay paida nahi hua.. Allah kami beshi maaf fermaye meri.. balkey ek sabit hadees jo k sahi muslim or bukhari shareef may darj hay say ye baat murvi hay k madani dour may AP SAWAW ko khabar pohanchi k madinay ki ek yahoodi orat k haan ek ankh wala baccha paida hua hay to AP SAWAW , Hazrat Umar RTA k hamra waqiye ki tehqeeq k liye wahan tashreef lay guye or door say bacchey ko daikha, baccha jis ka naam IBN E SIYAD rakha gaya tha apney palney may laita ajeeb o ghareeb zuban bol raha tha Hazrat Umar RTA nay bacchay ko daikhtay he AP SAWAW say ijazat mangi k is ko abhi khatam ker don lakin AP SAWAW nay ye keh k rok dia k agar ye dajjal nahi to na huq kisi masoom ka khoon bahey ga or agar ye dajjal hay to ye tum say nahi marey ga (dajjal ka qata Hazrat EESA AS k hathon hona hay ba haisyat e musalman hamara ye emaan hay)Hazrat Umar RTA nay arz ki BAKHUDA ibn e siyad he dajjal hay or dohratey rahey jis per AP SAWAW nay khamoshi ikhtiyar ki or Hazrat Umar RTA ko inkar nahi kia..
    ek dosri Hadees may ata hay jo k Hazrat Abu Bakar RTA say riwayat hay k Rasool SAWAW nay fermaya k dajjal k baap k ghar 30 saal tak koi baccha nahi hoga phir ek larka ho ga jis ki ek ankh kharab ho ge or ek dant bahar nikla hoga, woh bilkul nikama ho ga, sotay may agar chey uski ankhain band hon ge lakin uska dil hoshiyar hoga.Hazrat Abu Bakar RTA fermatey hain k hum nay madinay may ek yahoodi k han aysey bacchey (IBN E SIYAD) ki paidaish ki khabar suni to main (Hazrat Abu Bakar RTA) or Hazrat zubair bin awaam RTA usko daikhnay k liye guye or hum nay un say pocha tumhara koi baccha hay to unho nay jawab dia k 30 saal tak hamara koi baccha nahi tha, ab ek larka paida hua hay..ye tirmizi shareef ki hadees the..
    ab ek or hadees ka hawala apki nazar takey next time ap hadees ki roshni k bina dajjal ya us say related topic na uthain..
    sun un abu daood may ye hadees darj hay k Hazrat Jabir RTA fermatey hain k jub jang e ehza'ab hui the to us din k bad say hamain ibn e siyad ka kuch pata he nahi chala k woh kahan chala gaya..
    to janab dajjal Rasool SAWAW say pehlay paida nahi hua tha taseeh fermaye or jo Rasool SAWAW say pehlay tha woh sirf MERA ALLAH SWT tha or US RUB E PAK k siva koi Rasool SAWAW say pehlay nahi hay or na he hoga kabhi.. or AP SAWAW ALLAK ka NOOR hain...
    JASHAN E AMAD E RASOOL
    ALLAH HE ALLAH
    RABI UL AWAL KI TAMAM ROSHNIYAN BARKATAIN REHMATAIN FAZEELATAIN OR NAIMATAIN AP OR HUM SUB PAY HAMARA RUB NICHAWAR KAREY OR HUM SUB KO DAJJAL K ANEY WALEY SAKHT AYYAM MAY APNEY EMAAN PAY SABIT QADAM OR MAZBOOT REHNAY KI TAQAAT ATA FERMAYE OR APNEY DEEN MAY URAI JANEY WALI GHALAT BATON KI PYAR YA MAAR HER TARHAN SAY ROKNAY KI JURAAT OR HIMMAT ATA FERMAYE... AMEEN
    ALLAH HUMAMEEN..
    JAZAK ALLAH

    hansi to mujhe apki post parh kar Aa rahi hai

    maine kabhi ye nahi kaha ya samjha main bht bari HASTI hoon ya bht bara insan hoon,, mujhe mere walid sahb ne bht dafa danta bachpan mein & ab bhi sakhti karen to mujhe fakhar hota hai ke mere abu hain wo nahi samjhaen ge ya sakhti nahi karen ge to kon karey ga?? ap ko abeer bhai ne bata dia ke yahan NOOR BASHAR ye baten to laney ki TUK he nahi banti thee jesa ke ap ne kia aur yaheen se apki seriousness ka pta lag jata hai ke ap ne kesi be-tuki post kar di.. rahi baat ibn e siyad ki to wo bhi abeer bhai ne apko bata dia ke wo banda dajjal nahi tha aur khud ahadees mein mojood hai ke shroo shroo mein NABI PAAK SALLALLAHO ALEH WASALLAM ko shak tha us per but baad mein unhen wazeh bata dia gaya ke dajjal ek jazeerey mein qaid hai aur is per suboot hai HAZRAT TAMIM DARI RAZIALLAH ANHO wali taweel hadees jo ke forum mein share ki hoi hai.. mere mukammal threads parhen is series ke... dajjal series ke 5 articles hain ap ne sirf yehi dekha aur isee thread ke shroo mein dia gaya part-1 ka link bhi sarsari sa he dekha... iske baad waley bhi dekh len meri id se search kar ke.. na sirf ye series balkey iske elawa islam section & baqi jaghon mein bhi mere bht sarey different threads mojood hain jo apko dekhne chahyen.. balkey sirf isee thread mein mojood bht sarey logon ke comments & taasuraat dekh len & parh len,, mujhe ilm hai ya nahi iska faisla ap bhi nahi kar sakteen.. baqi hum ne last 7 years se in mamlaat per bht mehnat ki, parha, dekha, samjha & then Aagey phelaya jiske hazaron gawah & log hain jinhon ne ALHUMDOLILLAH istefada bhi kia... ALLAH PAAK ap per karam karen,, Aameen

  2. #590
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    Quote Abeer Alam said: View Post
    Ahadees may ye kahien sy saabit nahi k ibn e siyad he dajjal hy. Dajjal k muta'alliq mukhtalif ahadees hain kahien per pedaish k muta'alliq or kahien per ye k wo kisi jazeery may qaid hy.
    Mujhy aap per shadeed ghussa aa raha hy Nabi Kareem(S.A.W) Noor hy k bashar unki Pedaish saari insaniyat sy pehly howi k baad may. Zaeef Ahadees, Jishn e meelad ki be-bunyad baatain etc is tarah k ikhtilafi masael yahan mat cherhain forum per ikhtilafi masael cherhna or intishar phelana sakht mana hy.
    Baaqi thread k baary may aitiraaz ka jawab fasih ud deen bhai de daingy.
    jazakALLAH,, aisa he hai,, darasal unhen khud pta nahi tha is liye ek he post mein bht sari cheezen mix kar deen

  3. #591
    Abeer Alam's Avatar
    Abeer Alam is offline Advance Member+
    Last Online
    30th April 2020 @ 07:52 PM
    Join Date
    22 Apr 2009
    Location
    In My MOM Heart
    Gender
    Male
    Posts
    7,823
    Threads
    991
    Credits
    1,027
    Thanked
    1012

    Default

    Is sy aik baat ki wazahat tu ho jaati hy k be-ilmi sy zyada nuqsan-deh kam-ilmi hy.
    300 pages ki books, moti moti kitabain de dongi sy kya Matlab saaf kehna chahiye k bhai fulan fulan kitabo sy istifada kar lain.2sri Jaanib ghair-muta'alliqa Mozo'aat b isi may ghaseett laaye.
    ALLAH hamary Haal Per Raham Farmaye.

    Photoshop all Classes & PDF Book

    [IMG]http://i1085.***********.com/albums/j434/abeer_alam/Bachpan.gif[/IMG]

  4. #592
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Default

    Quote Abeer Alam said: View Post
    Is sy aik baat ki wazahat tu ho jaati hy k be-ilmi sy zyada nuqsan-deh kam-ilmi hy.
    300 pages ki books, moti moti kitabain de dongi sy kya Matlab saaf kehna chahiye k bhai fulan fulan kitabo sy istifada kar lain.2sri Jaanib ghair-muta'alliqa Mozo'aat b isi may ghaseett laaye.
    ALLAH hamary Haal Per Raham Farmaye.
    maine jo BOOKS ki pics share ki theen wo bhi bht bari books hain but inhon ne yakinan wo dekhi tak nahi hongi to parhna door ki baat,, ALLAH PAAK sub ko saheeh rah per chalney wala banaen,, Aameen

  5. #593
    parvez2133 is offline Junior Member
    Last Online
    30th November 2015 @ 12:07 PM
    Join Date
    20 Nov 2015
    Gender
    Male
    Posts
    2
    Threads
    0
    Credits
    860
    Thanked
    0

    Default

    Jado wali Hadees. Jado AP SAW pr nahi hoa.
    Is baat ka saboot QURAN mai....kidhar he jo Sura #25 AI.forkan ayat # 8,9 Sura # 17 Ayat # 47. aapne dekhne ko kaha dekhi humne par wah jadu wali koi baat nahi he...plz replay

  6. #594
    parvez2133 is offline Junior Member
    Last Online
    30th November 2015 @ 12:07 PM
    Join Date
    20 Nov 2015
    Gender
    Male
    Posts
    2
    Threads
    0
    Credits
    860
    Thanked
    0

    Default

    Quote MailKing said: View Post
    Hi,oioioioioi
    thanks kh ap mayri help kr rahe ho Deen learn krne mia.
    bro kisi ko ye kah dayna kh ap Hadees nahi mante ye achi baat nahi hai.
    Bro main Allah ka shokr hai kh main SAW k farameen ko manta b hon aur amal b krta hon.
    Bro koch baate SAW ki taraf mansoob ki gai hain laykin wo SAW ki Hadees nahi hai.
    For exampl: Jado wali Hadees. Jado AP SAW pr nahi hoa.
    Is baat ka saboot QURAN mai hai. daykho Sura #25 AI.forkan ayat # 8,9 Sura # 17 Ayat # 47.
    Bro AP SAW ki baat(Hadees) Quran k Khalaf nahi ho sakti. jo hadees Quran se takray gi wo AP SAW ki Hadees ho hi nahi sakti. wo bohtan hai ap SAW pr.
    Allah ka shokr hai maine lafzi tarjme k sath Quran sekha hai. aur AP SAW ki Hadees hai kh "Tm mai behtr wo hai jo QURAN sekhe aur sekha,ay"

    Bro rahi baat Dajjal pr jo Hadees hain un ki. To dayhk Sura#53 Ayat#3,4.
    AP SAW ne only un cheezo ko hi explain kia hai jin ka QUAN mai zikr hai.is baat ko Sura#53 Ayat#3,4 support krti hai.
    QURAN mai Dajjal ka zikr nahi hai. Is liya AP SAW ne is topic pr baat b nahi ki.

    Dajjal k aane ka akida to Jews ka hai.wo Dajjal ko Anti crise kahte hain.

    Bro mayra kisi Firkay ya JAMAT se taluk nahi hai. Main only Muslmaan hon q k ALLAH ne hamar sb ka naam to MUSLMAAN rakha hai. ye to aj ham ne firkay bana liaya hain.
    ALLAH ne firkay bana ne se roka hai. see
    Sura#3 Ayat #103
    Sura#6 Ayat #159
    Sura#30 Ayat #32
    Sura#42 Ayat #13,14
    God bless you.
    Jado wali Hadees. Jado AP SAW pr nahi hoa.
    Is baat ka saboot QURAN mai....kidhar he jo Sura #25 AI.forkan ayat # 8,9 Sura # 17 Ayat # 47. aapne dekhne ko kaha dekhi humne par wah jadu wali koi baat nahi he...plz replay

Page 50 of 50 FirstFirst ... 4047484950

Similar Threads

  1. Replies: 308
    Last Post: 16th February 2021, 07:02 PM
  2. Replies: 671
    Last Post: 2nd August 2017, 08:37 PM
  3. Replies: 125
    Last Post: 3rd March 2017, 02:30 PM
  4. Replies: 192
    Last Post: 28th January 2016, 10:44 AM
  5. Replies: 139
    Last Post: 6th September 2011, 11:57 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •