Humko kiskey ghum ne maara, ye kahani phir sahi,
Kisne tora dil hamara, ye kahani phir sahi,
Dil key lutney ka sabab poocho na sub key saamney,
Naam aaegaa tumhara, ye kahani phir sahi,
Nafratoun key teer khaakar doston key shahir main,
Humne kis kis ko pukaara, ye kahani phir sahi,
Kiya Bataaen piyar ki baazi, wafaa ki raah main,
Koun jeeta, koun haara, ye kahani phir sahi.....**
Bookmarks