"bywafa"
wo jo muddaton sy mila nahi
main b dhondny main thaka nahi.
usy dhonda main ny gali gali
koi chori main ny jaga nahi.
sab ny kaha usy bhol ja
dil ny kaha wo bura nahi
bhuladon main b agar usko
phir farq hum raha nahi.
milty nahi hian tu kia hoa
meray dil sy wo juda nahi.
"hon b ya nahi hon main"
kisi sabab agar bolta nahi hon main
tu yun nahi k tujhy sochta nahi hon mian.
main khud ko tum sy juda kar k kis trahan dekhon
main b tum hon koi dosra nahi hon main.
meray badan ki har ent main ana rakhi hia
main khud bana hon banaya hoa nahi ho main.
meray wajood k andar talash mat kar mujhay
k is makan main aksar raha nahi hon main.
main ek umer sy khud ko talashta hon.
magar mujhay yakeen nahi.
"hon b ya nahi hon main"
Bookmarks