bhai mein apka challenge accept karta hoon,magar meri b aik shart hai k jahan se bhi koi line uthain wo pura page,us se pehla r us k bad wala page b di jiyege.
aryo ne b ap he ki tarha ilzam lagae na k kisi ne ye kaha k hume khuda ne kaha, jo mene likha hai us me khuda ki baat ki jarahi hai. is 100 sal k arsa me aap me se koi esa naik shaks paida nahin hua jise khuda ne ye kaha ho k ahmadi jhute hain....
aur jo aapne baito ki baaat ki wo aik saal me honi wali baitain hain.
mein bhi aapse baat karna zurur pasand karunga,lekin islami asoolon k tehat.
islam kisi k bare mein zuban darazi ki ijazat nahin deta.hum ne ne hadhrat masih maud ko sacha samajh k mana hai.is liye koshish zurur kijiyega k koi baat ikhlaq se giri hui na ho.r agar ap galiyan dengay mujhe us se koi aitraz nahin kyon k log tou hamare aaqa huzur(s.a.w) ko b galiyan dete hain.hum tou huzur(s.a.w) ki muhabat me ap ki galiyan b bardasht kar sakte hain.aur unhi ki muhabat me aaj tak taklifain uthate arahe hain,aur aaj un sub pabandiyo ka samna kar rahe jo hamare aaqa(s.a.w) per lagai gayi thi,is liye hum khushi se isko bardasht karte hain k aap ne tou hume un ki ummat hona ka haqq ada karne ki toufeeq di.
r bhai agar hum jhoot bolte hain tou hum pe pabandi kyon lagate ho,tum tou khule aam tabligh karte ho,phir b hum he se khofzada ho,aisa kyon hai?
huzur(s.a.w) ne tou kisi ko nahin roka tha k wo apne mazhab ka parchar kare.ya phir tabligh kare.bal k her mazhab ko security di.
r rahi taraqi ki baat tou shayad apko ye bhi maloom nah k jis ratio se hum taraqi kar rahe hain,esaae us se kahin duur hain.
aur un ka muqabla bhi hum he karte aye hain aur karte rahain gay.