Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 15

Thread: Main jidhar gaya,main jahan raha(maa)

  1. #1
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    36
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default Main jidhar gaya,main jahan raha(maa)

    Main jidhar gaya,main jahan raha
    meray saath tha
    wohi aik saya-e-meharban
    woh jo aik chehra-e-abar, tha sar-e-asmaan
    pus-e-hur gumaan
    woh jo aik harf-e-yaqeen tha
    meray har safar ka ameen tha
    woh jo aik bagh-e-erum numa,sabhi mausamoon main hara raha
    woh ujar gaya........
    woh jo aik dua ka charagh saa meray raaston main jala raha
    woh bikhar gaya.......
    meray gham ko jarr say ukharta
    woh jo aik lams-e-azeez tha
    kissi kapkapatay say haath ka,woh nahi raha
    woh jo ankh rahti thi jagti meray naam par
    wohi so gayii......
    woh aik dua-e-sukoon thi meray rakht main
    wohi kho gayiii.........
    AAY KHUDA-E-WAHID-O LAM YAZAL
    teray aik harf kay said hain
    yeh zaman makan
    teray faislon kay huzoor main
    na majaal hai kissi harf ki,na kissi ko taab-e-sawal hai
    yeh jo zindagi ki mat'a hai
    teri dain hai,tera maal hai
    mujhay hai to itna malaal hai
    kay jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-rah thi
    main wahan na tha.....
    meray raaston say nikal gaii,woh jo aik jaa-e-panah thi
    main wahan na tha.......
    sar-e-shaam mujhay dhoondti,meri maan ki bujhti nigaah thi
    main wahan na tha.......
    meray chaar soo hai dhuan dhuan
    meray khwaab say meri ankh tak
    yeh jo sail-e-ashk hai darmayaan
    issi sail-e-ashk kay paar hai
    kaheen meri maan
    teray raham ki nahi had koi
    teray a'fw(maafi) ki nahi intiha
    kay to maan say barh kar shafeeq hai
    woh rafeeq hai
    kay jo saath ho to zindagi ki musaafatain
    yeh izziyatain,yeh rukawatain
    faqat aik nigah ki maar hain
    yeh jo khaar hain
    teray dast-e-mu'ajza saaz say
    gul-e-khush jamal-e-bahar hain
    meri iltija hai to bas yahi.......
    meri zindagi ka jo waqt hai,katay us ki ujli duaa'oon say
    teray durguzar kay huzoor main
    teri barkatoon kay hisaar main
    woh jo khaas chashm-e-karam main hai
    ussi roshni ki qatar main
    kissi cheez ki bhi kami nahi
    teri bakhshishoon kay diyaar main
    meri maan ki rooh-e-jameel ko
    sada rakhna apnay jawar main
    sada pur faza woh lahad rahay

    (Amjad Islam Amjad)

  2. #2
    Hope's Avatar
    Hope is offline Advance Member
    Last Online
    7th January 2020 @ 04:18 PM
    Join Date
    25 Jan 2009
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    17,405
    Threads
    750
    Credits
    74
    Thanked
    212

    Default

    Hmmmmmmmm Nice

    Carry On

  3. #3
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    36
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default

    bohat bohat nawazish app ki.....

  4. #4
    muzafarmohsin is offline Advance Member
    Last Online
    20th September 2019 @ 04:41 PM
    Join Date
    03 Jul 2006
    Posts
    5,561
    Threads
    731
    Credits
    78
    Thanked
    134

    Default

    bohat hi khoob janab mazedaar haa...Buraa naa maniey gaa...yeh cigerratt walli tasweer
    >????????????????????????????????

  5. #5
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    36
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default

    muzafarmohsin
    bohat hi khoob janab mazedaar haa...Buraa naa maniey gaa...yeh cigerratt walli tasweer
    >????????????????????????????????
    Nahi sir jee bura mane ki kiya baat hai.khair is cig wali pic lagane ki koi waja tu nahi hai bas aisy hi collin ferrell pasand hai isliya laga di.wasy mujhy bhi kuch ocha ocha sa lag raha tha lakin phr bhi laga de me ne heheehhee....chaliya change kar deta hoon.No hard feelings.........

  6. #6
    Ladla Student's Avatar
    Ladla Student is offline Senior Member+
    Last Online
    11th December 2018 @ 08:54 PM
    Join Date
    14 Nov 2008
    Location
    Islamabad
    Gender
    Male
    Posts
    1,922
    Threads
    332
    Credits
    139
    Thanked
    369

    Default

    nice ji

  7. #7
    iftikharhassan's Avatar
    iftikharhassan is offline Senior Member+
    Last Online
    25th October 2009 @ 09:23 PM
    Join Date
    11 Feb 2009
    Age
    35
    Posts
    290
    Threads
    54
    Credits
    950
    Thanked
    0

    Default

    Very Nice

  8. #8
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    36
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default

    bohat nawazish......

  9. #9
    Join Date
    11 Mar 2009
    Location
    !@R $h! The /\/@/\/\e Of Po\/\/eR...!
    Posts
    2,422
    Threads
    115
    Thanked
    7

    Default

    Gr8...!

  10. #10
    Join Date
    11 Mar 2009
    Location
    !@R $h! The /\/@/\/\e Of Po\/\/eR...!
    Posts
    2,422
    Threads
    115
    Credits
    0
    Thanked
    7

    Lightbulb ARSH...! The Name of Power...!

    Quote Hassaan Khan said: View Post
    Main jidhar gaya,main jahan raha
    meray saath tha
    wohi aik saya-e-meharban
    woh jo aik chehra-e-abar, tha sar-e-asmaan
    pus-e-hur gumaan
    woh jo aik harf-e-yaqeen tha
    meray har safar ka ameen tha
    woh jo aik bagh-e-erum numa,sabhi mausamoon main hara raha
    woh ujar gaya........
    woh jo aik dua ka charagh saa meray raaston main jala raha
    woh bikhar gaya.......
    meray gham ko jarr say ukharta
    woh jo aik lams-e-azeez tha
    kissi kapkapatay say haath ka,woh nahi raha
    woh jo ankh rahti thi jagti meray naam par
    wohi so gayii......
    woh aik dua-e-sukoon thi meray rakht main
    wohi kho gayiii.........
    AAY KHUDA-E-WAHID-O LAM YAZAL
    teray aik harf kay said hain
    yeh zaman makan
    teray faislon kay huzoor main
    na majaal hai kissi harf ki,na kissi ko taab-e-sawal hai
    yeh jo zindagi ki mat'a hai
    teri dain hai,tera maal hai
    mujhay hai to itna malaal hai
    kay jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-rah thi
    main wahan na tha.....
    meray raaston say nikal gaii,woh jo aik jaa-e-panah thi
    main wahan na tha.......
    sar-e-shaam mujhay dhoondti,meri maan ki bujhti nigaah thi
    main wahan na tha.......
    meray chaar soo hai dhuan dhuan
    meray khwaab say meri ankh tak
    yeh jo sail-e-ashk hai darmayaan
    issi sail-e-ashk kay paar hai
    kaheen meri maan
    teray raham ki nahi had koi
    teray a'fw(maafi) ki nahi intiha
    kay to maan say barh kar shafeeq hai
    woh rafeeq hai
    kay jo saath ho to zindagi ki musaafatain
    yeh izziyatain,yeh rukawatain
    faqat aik nigah ki maar hain
    yeh jo khaar hain
    teray dast-e-mu'ajza saaz say
    gul-e-khush jamal-e-bahar hain
    meri iltija hai to bas yahi.......
    meri zindagi ka jo waqt hai,katay us ki ujli duaa'oon say
    teray durguzar kay huzoor main
    teri barkatoon kay hisaar main
    woh jo khaas chashm-e-karam main hai
    ussi roshni ki qatar main
    kissi cheez ki bhi kami nahi
    teri bakhshishoon kay diyaar main
    meri maan ki rooh-e-jameel ko
    sada rakhna apnay jawar main
    sada pur faza woh lahad rahay

    (Amjad Islam Amjad)
    Maa'n Ki shaan jitni bhi byan ki jaye kam hy ap Plz jitna likh sakty ho maa'n ki shaan main likho Me alwz with you and you are alwz in my Praz Inshallah...!

  11. #11
    Hassaan Khan's Avatar
    Hassaan Khan is offline Senior Member+
    Last Online
    30th June 2011 @ 07:30 PM
    Join Date
    19 Jan 2009
    Location
    Karachi
    Age
    36
    Posts
    435
    Threads
    110
    Credits
    950
    Thanked: 1

    Default

    ADNANLIBRA
    Maa'n Ki shaan jitni bhi byan ki jaye kam hy ap Plz jitna likh sakty ho maa'n ki shaan main likho Me alwz with you and you are alwz in my Praz Inshallah...!
    Bilkul theek farmaya ADNAN shahab ap ne...
    app ka bohat bohat shukeriya.....

  12. #12
    Sultana's Avatar
    Sultana is offline Advance Member
    Last Online
    5th November 2022 @ 02:49 PM
    Join Date
    02 Feb 2009
    Location
    ☼☼&
    Gender
    Female
    Posts
    36,591
    Threads
    1438
    Credits
    1,255
    Thanked
    4214

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Aaj Phir Sy Maazi Ki Yaadon Main Khu Gaya Main
    By !*~ITDSTARS~*! in forum Design Poetry
    Replies: 23
    Last Post: 30th December 2012, 07:07 PM
  2. Tu Muj Main Bas Gaya... Main Tuj Main Bas Gaya Hoon!
    By usmaanwahid in forum Design Poetry
    Replies: 5
    Last Post: 17th February 2010, 11:40 AM
  3. Replies: 1
    Last Post: 4th June 2009, 09:56 PM
  4. Admin Bahi Sorry Main Samaj Gaya Hon.. Main ..
    By ITcobra1988 in forum Tajaweez aur Shikayat
    Replies: 2
    Last Post: 3rd September 2008, 12:34 PM
  5. Ab It Dunya main Maza nahi raha ab koi nahi jahan deakho
    By skzone in forum Tajaweez aur Shikayat
    Replies: 16
    Last Post: 12th January 2008, 12:18 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •