Results 1 to 12 of 21

Thread: Qayamat Ki Lamehdood Information........aap Kelie (PART2)

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    23 Jun 2007
    Location
    *~Fateh Jang~*
    Age
    34
    Gender
    Male
    Posts
    38,526
    Threads
    2402
    Credits
    28,617
    Thanked
    3764

    Smile Qayamat Ki Lamehdood Information........aap Kelie (PART2)

    Qayamat Ki Lamehdood
    Information……aap Kelie

    Bismilla Hirrahma Nirraheem.

    Part:2

    Dosto , Aaj Hum Qayamat Ki Alamat E Baheeda
    Per Discuss Karen Ge.
    Part:1 Mein Bhi Aap In Ka Parh Chuke Hon Ge
    Leken Yahan Pe Tafseelan Baat Ho Gi….
    Inshallah Tahala.

    “alamat E Baheeda” Wo Alamat Hain Jin Ka Zahoor Mazi Mein Kaafi Pehle Ho Chuka Hai.
    In Ko “baheeda” Is Lie Kaha Jata Hai Ke In Ke
    Aur Qayamat Ke Darmeyan Nisbatan Zyada
    Faasla Hai………..
    For Example…..
    Nabi Kareem (saw) Ki Pedaish.
    Shaqqal Qamar Ka Waqia.
    Nabi Kareem (saw) Ki Wafaat.
    Jang E Sefain.

    Ye Sab Waqiat Quran O Hadess “alamat E Qayamat” Mein Hain Aur Zahir Ho Chuke Hain.
    Inhi Alamat Mein Mandarjaa Zail Waqiat Bhi
    Shamil Hain Jin Ki Khabar Rasool E Akram (saw) Ne Dee Thi Aur Dunya Ne Inhen Poora Hote Hote Dekha.

    1:fitna E Tataar (mangolon Ke Hamley) Ki Peshgoi……..

    Alamat E Baheeda Mein Se 1 Fitna E Tataar Tha.( Arab Mangolon Ko Turk Kehte The ) Jis
    Ki Peshgi Khabar Ahadees Mein Di Gai Thi.
    Inn Ke
    Bare Mein Bukhaari,muslim,abu Daood,tarmazi Aur Ibn Maja Ne Ye Rawayaat Zikr Keen Hain.

    “hazrat Abu Hurairah (rz) Ka Byan Hai Ke Nabi Kareem (saw) Ne Farmayaa…qayamat Na Aae Gi Yahan Tak Ke Tum Turkon (mangolon) Se Jang
    Karo Jin Ki Aankhen (eyes) Choti,chehre (faces) Surkh Aur
    Nakein (noses) Choti Aur Chipti Hon Gi.unn Ke Chehre ( Golai Aur Motai Mein ) Esi Dhal Ke Manand Hon Ge Jis Par Teh Ba Teh Chamraa Charha Dia Gayaa Ho”.

    “ Qayamat Nahin Aae Gi Yahan Tak Ke Tum 1 Esi Qom Se Jang Kar Lo Jin Ke Joote Balon Ke Hon Ge” ( Saheeh Bukhari )

    1 2oosri Hadees Mein Rasool Ullah (saw) Ne Farmayaa “alamat E Qayamat Mein Se Ye Bhi Hai Ke Tum 1 Esi Qom Se Jang Karo Ge Jin Ke Chehre Areez ( Chore ) Hon Ge”

    Saheeh Muslim Ki 1 Hadees Mein Unn Ki Ye Sift Bhi Bayan Ki Gai Hai Ke Wo Balon Ka Libaas
    ( Dress ) Pehente Hon Ge.

    In Ahadees Mein Jis Qom Se Musalmanon Ki
    Jang Ki Khabar Di Gai Hai..ye Tataari Hain Jo
    Turkastan ( Mangolia ) Se Qeher E Ilahi Ban Kar Aalam E Islam Par Toot Pare The.
    Rasool Pak (saw) Ne Inn Ka Hulyaa Tak Bata Diaa Thaa.

    Ye Fitnaa 656 Hijri Mein Apne Arooj Par Pohncha Jab Tataarion ( Mangolon ) Ke
    Hathon Saqoot E Baghdad Ka Ibratnaak Hadsa Pesh Aayaa.unhon Ne Banu Abbas Ke
    Aakhri Khalifah Mustahsam Ko Qatal Kar Dalaa Aur Aalam E Islam Ke Beshtar Mumalik
    Unn Ki Zadd Mein Aa Kar Zer O Zabbar Ho Gae.

    2:naar Ul Hajjaaz Ki Peshgoi………

    Qayamat Ki Inhi Alamat Mein Se 1 Hajjaaz Ki Wo Azeem Aag Hai Jis Ki Peshgi Khabar 600 Saal
    Qabal Rasoool E Akram (saw) Ne Di Thi.ye Alamat Bhi Poori Ho Chuki Hai.bukhaari Aur Muslim Ne Ye Hadeees Hazrat Abu Hurairah (rz) Se Naqal Ki Hai.

    “rasool Pak (saw) Ne Farmayaa Ke Qayamat Na Aae Gi Yahan Tak Ke Sarzameen E Hajjaaz Se 1 Aag Nikle Gi Jo Busraa Mein Oonton (camels) Ki Gardanen Roshan Kar De Gi”.

    Fatah Ul Bari Mein Bhi Ye Rawayat Hai Jis Mein Mazeed Tafseel Hai.

    “hazrat Umer Bin Khattaab (rz) Ne Rasool Ullah (saw) Ka Ye Irshad Naqal Farmaya Ke
    “qayamat Nahin Aae Gi Yahan Tak Ke Hajjaaz Ki Waadion Mein Si 1 Waadi Esi Aag Se Beh Pare Jis Se Busraa Mein Oonton Ke Gardanen Roshan Ho Jaen Gi’.

    Iss Hadees Sharif Ke Tashreeh Mein Saheeh Muslim Ke Shareh Allama Nuvi Likhte Hain.

    “busraa Madina Pak Aur Damishq Ke Darmayan Ka Mashoor Sheher Hai Jo Damishq Se Teen Marhala (taqreeban 48 Miles ) Par Waweh Hai.
    Ye Azeem Aag Fitna E Tataar Se Taqreeban 1 Saal Pehle Madeena Pak Ke Nuwah Mein Inhi Sifaat Ke Saath Zahir Ho Chuki Hai Jo Inn Ahadees Mein Bayan Ki Gai Hain.ye Aag Juma (friday) 6 Jamadi Us Saani 654 Hijri Ko Nikli Aur Behr E Zkhaar Ki Trah Milon Tak Phelti Gai.
    Jo Pahaarh Is Ki Zadd Mein Aa Gae Unhen Raakh Ka Dher Bana Diaa Aur Atwaar (sunday) 27 Rajjab (52 Days) Tak Musalsal Bharakkti Rahi
    Aur Poori Trah Thandi Hone Mein Taqreeban 3 Maah
    ( 3 Months) Lagg Gae.iss Aag Ki Roshani Makka Mukarrama,yanbooh,teema Hatta Ke Hadees Ki Peshengoi Ke Mutaabiq Busraa Jese Door Draaz Maqam Par Bhi Dekhi Gai.iss Ki Khabar Tawatur Ke Saath Poore Aalam E Islam Mein Phel Gai Thi.uss Zamana Ke Muhaddeseen O Moarrekheen Ne Apni Tasaneef Mein Aur Shuraa (poets) Ne Apne Kalaam Mein Iss Ka Boht Tafseel Se Tazkara Kiaa Hai.

    Allama Nuvi Mazkoora Bala Hadees Ke Shrah Mein Mazeed Farmate Hain….

    “hadees Mein Jiss Aag Ki Khabar Di Gai Hai.ye Alamat E Qayamat Mein Se 1 Mustaqil Alamat Hai Aur Hamare Zamane Mein Madina Tayyeba Mein 1 Aag 656 Hijri Mein Nikli Jo Boht Azeem Aag Thi.madina Tayyeba Se Mashriqi Semat Mein Hirra Ke Peeche Nikli.tamaat Ahl E Shaam (syria) Aur Sabb Shron Mein Iss Ka Ilam
    Badarja Tawatur Pohnch Chuka Hai Aur Khudd Mujhe Madina Ke Inn Logon Ne Khabar Di Hai Jo Uss Waqt Wahan The”.

    Allama Samhoori Ne Apni “kitaab Wafaa” Mein Uss Zamana Ke Logon Ke Bayanaat Naqal
    Kie Hain Ke “uss Zamana Mein Madina Tayyeba Ke Nuwaah Mein Aaftaab Aur Chaand Ki Roshani Dhuwen Ki Kassrat Ke Bahiss Itni Dhundali Ho Gai Thi Ke Esaa Maloom Hota Thaa Ke Sooraj Aur Chaand Ko Girhan Laga Howa Hai”

    Ussi Zamana Ke 1 Aur Buzurrg Qazi Saddar Ud Din Hanfi Hain Jo Damishq Mein Hakim Rahe Hain.unn Ki Wiladat 642 Higri Mein Hoi.qazi Hone Se Pehle Ye Busraa Mein 1 Madrassa Ke Maddriss The Aur Aag Ke Waqia Ke Waqt Bhi Busraa Mein The.unhon Ne Mashoor Mufassir O Muarrikh Hafiz Ibn Kaseer Ko Khudd Batayaa Ke……

    “jinn Dinon Ye Aag Nikli Hoi Thi Maine Busraa Mein 1 Dehaati Ko Khudd Sunaa Jo Mere Waalid (abbu,papa,father,dedi Jo Keh Lein)
    Ko Bataa Rahaa Thaa Ke Hum Logon Ne Iss Aag Ki Roshani Mein Oonton Ki Gardanen Dekhi Hain”.

    Ye Wo Baat Hai Jiss Ki Khabar Rasool Ullah
    (saw) Ne Saheeh Ahadees Mein Dee Thi Ke Iss Aag Se Busraa Mein Oonton Ki Gardanen Roshan Ho Jaen Gi.
    Iss Aag Ke Mutalliq Nabi Kareem(saw) Ne 3 Batein Irshaad Farmaeen Theen…

    1:wo Aag Hajjaaz Mein Nikle Gi.

    2:iss Se 1 Waadi Beh Pare Gi.

    3:iss Se Busraa Ke Maqam Par Oonton Ki Gardanen Roshan Ho Jaen Gi.

    Ye Sabb Batein Wazeh Tour Par Zahir Ho Gaeen.gharz Ye Rasool Ullah (saw) Ke Ese Mojezaat Hain Jo Aap (saw) Ke Wassal Ke Saddyon Bad Zaahir Hoe Aur Aaenda Ke Bhi Jinn Waqiaat Ki Khabar Aap Ne Di Hai , Bila Shubba Wo Bhi 1 , 1 Kar Ke Saamne Aate Jaen Ge
    Aur Aaenda Naslon Kelie Aap (saw) Ki Sadaqat O Haqaniut Ki Taza Daleel Banein Ge.

    Waqiaat Ke Tajzia Se Maloom Hota Hai Ke 3 Jamadi Us Saani 654 Hijri Ko Madeena Manawwara Ke Nawahi Paharhon Mein Zalzala Ke Saath Koi Aatish Fashaan Phataa , Jiss Ki Aag Senkron Meel (miles) Se Nazar Aati
    Thi. Rosool Pak (saw) Ne Jiss Aag Ki Khabar Di Thi Wo Yehi Aatish Fishaani Aag Theee.

    Dosto…..aaj Yakeenan Aap Part No.2 Parh Chuke Hon
    Ge.inshallah Next Parts
    Aap Ko Urdu Mein Milein
    Ge.kesa Lagaa Aaj Ka Ye
    Part????bataeye Gaa Zaroor.

    Abhi Mujhe Ijaazat Dein.
    Chaltaa Hoon.
    Aap Ka Bhai Aur Dost.
    Fasih Ud Din.
    Allah Hafiz.
    Last edited by Fasih ud Din; 3rd August 2007 at 10:40 PM. Reason: Qayamat Ki Lamehdood Information.......aap keliye (part 2)

Similar Threads

  1. speech kelie help chahieye
    By sehrish srwr in forum Educational Help
    Replies: 4
    Last Post: 5th March 2014, 06:54 AM
  2. Replies: 9
    Last Post: 13th December 2011, 02:49 PM
  3. Qayamat Ki Lamehdood Information......aap Kelie
    By Fasih ud Din in forum General Discussion
    Replies: 13
    Last Post: 3rd August 2007, 01:02 AM
  4. 1 Duaaa...........sab Kelie.
    By Fasih ud Din in forum Islam
    Replies: 7
    Last Post: 4th July 2007, 03:45 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •